Alfaaz giraa dete hain jazbaat ki qeemat, Har baat ko alfaaz mein tola na karo..

Hum tujh se alag reh ke bhi rehte hain tere paas, Hote hain teri bazzm main hotey hian jahaan bhi..

Kon Dekhta Hai Kisi Ko Ab Seerat-e-Ikhlaaq Ki Nazar Sy, Sirf Khoobsurti Ko Poojtay Hein Naye Zamanay K Log.

Yun Mehfil Nahi Hoti Our Nazaare Nahi Hote Yun Chand Ke Pehlu Main Sitare Nahi Hote Ham Is Lye Karte Hen Aap Ki Fikar Kiunki Dil Ke Kareeb Sare Nahi Hote

Mujhe Yaqeen ke Tum Munfarid Ho Auron Se,, Tumhain Gumaan K eShayad Main Auron Jesa Hoon..

Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete

Mohabbat karne waale kam na honge, Teri mehfil mein lekin hum na honge..

Ghar se hai Mandir badi door chalo yun kar len Ek rote hue bachhe ko hansaya jaye

Koi betaab koi mast koi chup koi hairaan, Teri mehfil mein ik tamaasha hai jidar dekho..

Zindagi dard se ebarat se aey “aas” Mat gila karna jab muqaddar bigar jaey………

Parr gaya parda sama’aat per teri awaaz ka, Aik aahat kitne hangaamon pe haawi ho gayi.. (sama’aat;hearing)

Khat main likhe huye ghairon ke sallam atey hain, Kis qayamat ke yeh naaamey mere naam atey hain..

Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko

shab har shab mujay yehe darss datii hai.. guftar acha ho to manzil kesay kehta hain.

Dil k jazbon ko sanbhal k rakho sada ye mooti wafa k, inhen rola nahi kerty chahat k dareechy bohat anmool hoty hain har kisi k liye in dareechon ko khola nahi kerty