nazar se door reh kar bhi kisi ki soch main rehna… kisi ke pass rehne ka tarika ho to aisa ho………..

Kia koi nai baat nazar ai hum me, Aina humen daikh k hairan sa kion hai.

Bina “Libaas” aaye they Hum sab is Jahan mein itna Safar kia Bus ik “Kafan” ki khatir…

Pehchaan to safar mein laazmi thi, Magar kuch hum’safar achey lage they..

Tera gharoor hi tujhe na le doobey, Suna hai parhta tha namaz iblees bhi..

Rishton main wafa, bharam aur paasdari, Bohat puraane khayaal rakhte ho tum..

Baat be-baat roothne waley, Waqt be-waqt tujh ko socha hai..

Ye kon shakhs hai jo apne qehqon k lie, Zameen k raaz khala me ochal aea hai.

Ye Darya Ishq Mein Qadam Zara Soch Ke Rakhna Is Mein Utarne Wale Ko Kinara Nahi Milta

Jiss me shamil hoo na meri soch ka taza lahoo, Uss ghazal me kuch kami mehsos hoti hai muje.

Baat be baat rothane wale, Waqat be waqat tuj ko socha hai.

Dhalte soraj pe nazar rakhte hain, Apne sae ko bharhane wale.

Hum ko jahan pehchanane wale nazr ae, Awaz hi kuch aur wahan hum ne bana li.

Ye kis hisab se ki to ne roshani takseem, Sitare muj ko mile mahtab us ka tha.

Na anjaman me sakon hai na kanj khalot me, Khuda gawah qayamat k aztarab me hon.