Jurm Siqrat Se Hat Kar Na Saza Do Hum Ko Zehar Rakha Hai To Ab Ab-E-Baqa Do Hum Ko Shorash-E-Ishq Mein Hai Husn Barabar Ka Shareeek Soch Kar Jurm Tamana Ki Saza Do Hum Ko

Bheegi hui ik shaam ki dehleez pe baithe, Main dil k sulagne ka sabab soch raha hun, Duniya ki to aadat hai badal leti hai aankhein, Main uske badalne ka sabab soch raha hun

Mein Hoon Khud Sir To Talabgar Ana Tum Bhi Ho Mein Ho Mushkil Me , Sir-E-Dar Ana Tum Bhi Ho Ab Garezaa Hai Har Ek Soch Se Ye Zehan Mera Ajnabi Khauf Se Bezar-E-Ana Tum Bhi Ho

Mohabbat Tarq Ki Mein Ne Gareban Si Liya Me Ne Zamane Ab To Kush Ho,Zegar Ye Bhi Pi Liya Hum Ne Ab Zinda Ho Laikin Sochta Rehta Ho Khaloot Mein Ke Ab Tak Kis Tamana Ke Sahare Ji Liya Mein Ne

Jo zann paasdari na kar saki apne baap ke naam ki Woh kya zamanat de gi tere maal o jaan ki… Thande dimagh se soch, baat hai yeh itminaan ki Mat kar woh kaam jo baayes-e-ruswayi hai tere khandan ki

Tum pait pe laat to mar chuke, Ab kitne paaon pasaro ge, Tum roti Kapraa kya do ge, Tum log kafan bhi utaaro ge, Yeh baazi bhook ki baazi hai, Yeh baazi tum hi haaro ge, Har ghar se bhooka nikle ga, Tum kitne bhookey maaro ge..

Kar choke hain toba agar hum apne gunahon se Phir iss dunia me itna azab kion hai? Kia jo to ne har aik ko yaksan paida Phir insanon k darmiyan itni hasad kion hai? Ae gae roz-e-mehshar agar APP (S.A.W.W) hamari negehbani ko Phir ajj ka musalman itna pareshan kion hai? Mante hain sabhi,tujhe aur tere RASOL (S.A.W.W) ko agar Phir mosalmono me itni firqa bandi kion hai?

Raqs Karney Ka Mila Hukum Jo Darya’aoun Mei, Hum Ne Khush Ho K Bhanwar Baandh Liye Paa’oun Mei . . Hosla Kis Mei Hai Yousaf Ki Kharidaari Ka, Ab To Mehngaai K Charchay Hain Zulekha’aoun Mei . . Wo KHUDA Hai, Kisi Tootay Huye Dil Mei Hoga, Masjidoon Mei Usay Doondh, Na Kaleesa’aoun Mei . . Hum Ko Aapas Mein Mohabat Nahi Karney Dete, Ek Yehi Aib Hai Is Shehar K Daana’aun Mei

Soch Lena Chahiye Bicharne Se Zara Pehle Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha Ke Yoon Chahat Ko Thukraya Nahi Karte Ke Yoon Anjaan Ban Kar Chain Se Jeena Hamare Waste Mumkin Nahi Hoga Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha Ke Wo Batein Jo Hum Ik Dosre Se Kar Chuke Hain Ab Kabhi Wapis Na Aaein Gi Ke Har Lamhe Jo Hum Ek Dosre Me Ji Chuke Hain Phir Kabhi Zinda Nahi Hoo Ge Bicharne Se Zara Pehle Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai Woh Bhi Meri Terhan Barasti Bondon Ko Hathon Mein Sameit Leti Hai ?. Suna Hai Phool Usey Bhi Pasand Hai Woh Bhi Meri Terhan Ghanton Pholon Se Batein Kerti Rehti Hai ?.. Suna Hai K Chand Usey Bhi Aacha Lagta Hai Woh Bhi Meri Terhan Raat Raat Bher Usey Takti Rehti Hai ?. Suna Hai Tanhaee Usey Bhi Bhati Hai Woh Bhi Meri Terhan Per Woh Tanha Baith Ker Kis Ko Sochti Hai Sari Batein Sachi Hein Magar Yeh Bhi Sach Hai ! Mein Jo Us K Barey Mein Her Baat Ki Khabbar Rakhta Hon Yeh Bhi Janta Hoon K Us Ki Soochon Ka Mehwar Mein Nahi ??!!!