Fehmo adraak se bala hai ye andaz e wafa, Tuj ko andesha ruswai bhi hai piar bhi hai.

Socho to saloton se bhari hai tamam rooh, Daikho to ik shakan bhi nahin hai libas me.

kaunsi baat, kab, kaise kahee jaati hai..? Ye saleeka ho to har baat sunee jaati hai.

Thehroo zara ke marag e tamana se peshtar, Apni rafaqaton ko palat kar bhi daikh lain.

Ye kia hoa k khon me jhalak uthi hai roshani, Ye kis ne dil ki tergi me aftab rakh dia.

Hath bahot kafi the apne waste jaise bhi the, Koi hum sa dost koi hum sa begana na tha.

Sadagi se hum ne samjha tha hamara zikar hai, Tazkare kuch aur hi un k beyan me ae the.

Rehta hon jis zameen pe wohi oorh lon ga main, Jae iman ik aur bhi hoti hai ghar k bad.

W0 Humein BH00L GYA T0 K0I BAT NAHI ..! Aj W0 WaQt Hai K L0g0 K0 KHUDA Bhi YaaD Nahi..!

Roz aatey hain baadal abr-e-rehmat le kar, Mere sheher ke amaal unhe barasne nahi dete..

Dunya Mein Is Tarah Mein Rehayesh-Pazeer Hoon, Thehra Ho Jaise Koi Kisi Ke Makaan Mein..

Lihaz e wazadari me kabhi mumkin na ho shaid, Tumhara do qadam ana hamara do qadam jana.

Ghareb e sheher ki asmat na bik rahi ho kahen, Ajeeb shor suna hai faseel sheher pe ajj.

Sochate to bhol jana is qadar mushkil nahin, Kaam asan hai magar hum se kahan hone laga.

Phir sochate hain dida e tamanak ke lie, Hum dil ko khoon karen ke jagar ko lahoo karen.