Na ji bhar k daikha na kuch baat ki, Bari arzu thi mulaqat ki.

Tamana Hai K Roshan Ho Teri Duniya Teri Mehfil Ujala Mil Sake Tum Ko To Hum Ghar Bhi Jala Dengy.

Kuch to de bheek us ko aye zaalim, Ban ke jo saayel tere ghar aaya..

Har Taraf Raah Main Thay Kaanty Bichay Huay….. Mujh Ko Teri Talab Thi, Guzarte Chale Gaye…

Teri arzoo main humne Baharon ko dekha, Teri justaju main humne Sitaron ko dekha, Nahi mila tum se badhkar in nigahon ko koi, Humne jiske liye hazaron ko dekha..

tamanaaon main unjhaya gya hn khilonay day kar bahlaaya gya hn

Shareek e juram na hote to makhbari karte, Humen khabar hai lateron k har thakane ki.

fitarat e arzo k peron me zanjerain na dal, Piar kar khoshbo se pholon ki tamana na kar.

Zulmat ki wadi me ab jo mara mara phirta hon, Kash na ongali pakri hoti mene apne sae ki.

Aarzoyen fazool hoti haiN goya kaghaz k phool hoti haiN,,, Her kisi k naam pr nahi rukteeN dharkaneN ba osool hoti haiN,,, PatharoN k khudao k agaye ltijaiN fazool hoti haiN,,, Koi mere laboun ko bhi la day jo duaeN qubool hoti haiN…..

Ajab tali hai jo ik hath se bajati hai barson se, K me jaon to jaon wo kabhi aa kar nahin milta.

kya likhu dil ki haqeeqat aarzoo behosh hai…. khat pe aansoo beh rahey hai aur kalam khaamosh hai…

Es ke bagher aj bohat ji udas hy Jalib chalo kahe sy osy dhond lay hum

Garme nahin to zehar hi lao k is tarah, Shaid koi nijaat ka rasta dikhai de.

Qadam qadam par humen sanp mil rahe hain tarab, Kahan kahan hai had e asteen khuda jane.