Maine us ko itna dekha, Jitna dekha Ja sakta tha, Lekin phir bhi Do ankhon se, Kitna dekha Ja sakta tha ?
Maine us ko itna dekha, Jitna dekha Ja sakta tha, Lekin phir bhi Do ankhon se, Kitna dekha Ja sakta tha ?
Chalo Hum Maan Lete Hain, Tumhen Hum Khoo Chukay Lekin, Tumhri Yad Ab Tak Bhi, Hamain Betaab Rakhti Hai, Hamari Sans Ab Tak Bhi, Tumhari Aas Rakhti Hai, Magar Ab Ye Bhi Suntay Hain, Tumhari Raah Roshan Hai, Tumhen Bhi Mil Gaya Koi, Magr Afsos, Hum Jesa, Agar Pao Kahin Tum To, Mujhe Doo Harf Likh Dena, Ke, Manzil Mil Gai Mujhko..!!
Kuch Aisa Ho Yeh Shaam Dhale Koi Haath Me Thame Haath Mera Koi Le Ke Mujh Ko Saath Chale Koi Baithe Mere Pehlu Me Mere Haath Pe Apna Hath Dhare Aur Ponch Ke Aansu Ankhon Se Woh Dheere Se Yeh Baat Kahe Yun Tanha Safar Ab Kat Ta Nahi Chalo Hum Bhi Tumhare Saath Chalein
Meri aankhon pe marta tha, Meri baton pe hansta tha, Na jane shakhs tha kaisa, Mujhe khone se darta tha, Mujhe jab bhi woh milta tha, Yahi har bar kehta tha, Suno! Agar me bhool jaon to, Agar me rooth jaon to, Kabhi wapis na aaon to, Bhula pao ge yeh sab kuch, Yunhi hastey raho gaye kya, Yunhi sajtey raho gaye kya, Yehi batain hain bas uski, Yehi yadein hain bas uski, Mujhe bas hai pata itna, Mujhe woh pyar karta tha, Mujhe woh pyar karta tha..
Suno, Tum azam wale ho, Balaa ka zabt rakhte ho, Tumhain kuch bhi nahin hoga, Magar dekho, Jisey tum chorre jate ho, Usey to theek se shayed, Bicharna bhi nahin ata, Suno, Tum azam wale ho, Usey mat chorr ke jao… Akhtar Malik
Wo kehti hai batao,besabab kyu Roth jate ho, mei kehtna ho zara mujko manao acha lagta ha! wo kehti ha mera dil AkhiR ku tm se nai bharta, mei kehta hu., muhabat ki ko! Had hi nai hoti, wo kehti ha batao mei tmhe ku.. Itna bah gain ho,, mei kehta ho….. Hadsay to ho he jate ha! wo kehti hai…. Achanak mei tme you he rola do to ??? Mei kehta ho…k tm bi beeg jao gai….!!
Mohabbat phir mohabat hai? Kabhi dil se nhi jaati, Hazaron rang hain is k, Ajab hi dhang hain is k, Kabhi sehra, kabhi darya, Kabhi jugnu, kabhi aansu, Hazaron roop rakhti hai, Badan jhulsa k jo rakh day, Kabhi wo dhoop rakhti hai, Kabhi ban ker ye ek jugnu, Shab-e-gham k andheron mein, Dilon ko aas deti hai, Kabih manzil kinaarey per, Piyasa maar deti hai, Azziyat hi azziyat hai, Magar ye bhi haqiqat hai, Mohabat phir mohabat hai, Kabhi dil se nhi jaati?.
Mohhabat Dukh To Deti Hay Magar Eik Bat Kehni Hay Jisko Chaha Jata Hay Zarori Ye Nahi Hota K Usko Pa Liya Jaey Kabhi Us K Bicharne Se Mohabbat Kam Nahi Hoti Zara Si Dair Pahle To Yehi Ehsaas Hota Hay K Koi Ji Nahi Sakta Magar Phir Rafta Rafta Hi Haqiqat KhulTi Jati Hay Mohabbat Wo Nahi Hoti K Jisko Pa Liya Jaey Mohabbat Wo B Hoti Hay Jo Hamesha Sath Rahti Hay Kabhi Dukh K Andheron mai Kabhi Khushion K Daman mai Kabhi Wo Aas Dati Hay Kabhi Umeed Dati Hay..!!
Tum bin jiya jaye kesey, Kesey jiya jaye tum bin, Sadiyon sey lambi hain ratirn, Sadiyon sey lambey hoye din, Ajao laot kar tum, Ye dil keh raha hai, ajao laot kar tum, Phir sham e tanhai jagi, Phir yad tum aa rahey ho, Phir jan nikalney lagi hai, Phir mujhko tarpa rahey ho, Is dil me yadon kay meley hain, Tum bin bohat hum akeley hain, Ajao laot kar tum ye dil keh raha hai, Kya kya na socha tha me ney, Kya kya na sapney sajaye, Kya kya na chaha tha dil ney, Kya kya na arman jagaye, Is dil sey tofan guzartey hain, Tum bin jeetey hain na martey hain, Ajao laot kar tum ye dil keh raha hai, Tum bin jiya jaye kesey. Faiz Anwa
Jo Kuch Din Sath Reh Leytey Jo Kuch Din Baat Ho Jaati Manany … Rooth Janay Ka Agar Ye Silsila Rehta !!!! To Phir Jana’n !! Muhabbat Ho Bhe Sakti Thi ….
Usey barish pasand hai, Mujhe barish mein woh, Usey to pasand hai, Hanstey rehna, Mujhe hanstey huye woh, Usey to pasand hai Boltey rehna, Mujhe boltey huye woh, Usey to pasand hain Duniyaa ki saari neymtain, Aur mujhe sirf woh…
December ke haseen din they, Murree ki yakh fizaon mein, Hamare chaan hathon ne, Snow man ik banaya tha, Kaha tha aik doojey ko, Nishaani pyar ki apni, Bari hi khubsurat hai, Magar pyaare, Snowman barf ka tha woh, Usey aakhir pighalna tha, Usey aakhir bikharna tha..
Aksar aesa hota hai, Mein kisi kaam main masroof, Betha hota hoon, Ke achaanak… Apne daaye’n baaye’n, Aagey peechey, Kuch dhoondne lagta hoon, Yun lagta hai, Ke jese, Apni koi baish-keemat* cheez, Kahin rakh ke bhool geya hoon… (baish-keemat;costly) Javed Iqbal Sagha
Mujhe khamosh rehne do, Suna hai ishq sacha ho, To khamoshi lahu ban kar, Ragon mein naach uthti hai, Abhi kuch din mujhe meri mohabbat azmaney do, Usey mein kyun bataon, Usey mene kitna chaha hai, Bataya to jhoot jata hai, Ke Sachi baat ki khushbuu, To khud mehsoos hoti hai, Meri baatein, Meri sochein, Usey khud jaan lene do, Abhi kuch din mujhe meri mohabbat azmaney do..
Milan ki aarzoo krna Safar ki justajoo krna Jo tum mayoos ho jaao Toh mujh se guftagoo krna Yeh aksar ho bhi jata hay Kay koi kho bhi jata hay Muqaddar ko satao gay Toh phir yeh so bhi jata hay Agar tum hosla rakho Wafa ka silsala rakho Jo tum se pyar kar bethey Toh us sey rabta rakho Main yeh daaway sey kehta hoon Kabhi nakaam na ho gay Muhabbat ko samjh jaao Kabhi badnaam na ho gay