Mohabbat mein koi farmayesh na karna Meri ghurbat ki phir numayesh na karna Jaan to muskura kar doon ga agarcha ho Wafa ke naam par hijar Azmayesh na karna Khawbon ki tabeer ki badal jaati hai Kabhi khwbon ki khawish na karna Ankhon mein paani dekh kar jal na jaye Dekhna samundar ke kareeb rehaysh na karna Tu nahin pas magar dil mein mere shakir In faslon ki kabhi pemayesh mat karna

Hum tere dil mein iss bahane aaye Kya bahana tha dil tum se lagaane aaye Tumein maloom ho na paaya aamid ka sabab Apni khwaaish thi keh hosh thikaane aaye Mudat se tishnigi thi tum seh baat karne ki Badeh dinoo baad yeh pyaas bujaane aaye Raat ko sou na sakeh din ko behchain reh Neend baijo keh wo humein sulaane aaye Jab shayari karte ho tou pyari karte ho Kaun yeh baat Asghar ko samjaane aaye

ishtay phoolon ke manind hotey hn.. khun se senchoo to kheel jatey hn… khushyoon ke bersat ho to jhoom jatey hn gum ke aandhi ho to bekhar jatey hn…….. bedy haseen bedy dilfarib hotey hn….. pass jaao to kantoo se bhray hoty hn.. beharoon k hamsafer hotey hn khezan k mosum me gumm hojatey hn hawa k dosh p leharaty phool kia jeny ghari hotey hn jeryn to ye chamn bestay hn..

Itne dher se khawabon mein, Mere khawb sambhaley rakhna, Dil ka sheher ujaley rakhna, Itne dher se chehron mein, Mera chehra dheyaan mein rakhna, Kuch yadain samaan main rakhna, Itni dher se baton main, Pehli baat bhula na dena, Pehla ishq ganwaa na dena, Itne dher se raston mein, Tanhai ka ddar na dena, Mujh ko tanhaa kar na dena, Itne dher se naamon main, Mera naam na khoney dena, Meri shaam na honey dena..

Jazbaat behkete hain jab tumse milta hu, Armaan machalte hai jab tumse milta hu Saath hum dono ka koi bardasht nahi karta, Sab humse jalte hai jab tumse milta hu Ankho se tum jaane kya kya keh deti ho, Toofan se chalte hain jab tum se milta hu Haatho se hath milte hain hotho se hoth Dil se dil milte hain,jab tumse milta hu Aaho me beh jaati hai tanhai ki har raat, Kai shikve dil me rahte hain jab tumse milta hu

andh lain hath pe seenay pe saja lain tum ko ji to karta hay ke taweez bana lain tum ko phir tumhain roz sanwarain tumhain baehta dekhain kiun na angan main chambeli sa laga lain tum ko kia ajab khwahishain uthti hain hamare dil main kar ke munna sa hawaon main uchhalain tum ko kabhi khwab ban kar ankhhon main raho bana ke yaadain kabhi dil main bula lain tum ko kis qadar toot ke tum pe hamain pyar aata hay apni banhon main bharain mar hi dalain tum ko

Abhi Is traf na Nigah kr, Main Ghazal ki Palken sanwar lun ,, Mera lafz lafz ho Aaina, Tjhe Aainy me utar lun ,, Main tmam Din ka thka hua, Tu tmam shab ka jga hua ,, Zara thehr ja isi Mor pr, Tery sath Shaam guzaar lun ,, Agar Aasma’n ki Numaishon me, Mjhe b Izn-e-Qayam ho ,, To Main motiyon ki dukaan se, Teri baliyan, Tery haar lun ,, Kai Ajnabi teri Raah k, Mery paas se yun Guzar gye ,, Jinhe dekh kr ye tarap hui, Tera Naam le kr Pukaar lun……

Jaisy woh ajnabi larki Mujh sey pyar karti hai Mujhey chahti hai Akser yunhi chup chup ker Dekhti hai, janey kiya sooch ker Nazrein chura jati hai Kuch ghabra si jati hai Apney aanchal ko hawaoon k zoor per lehrati hai Mehsoos mujhey yeh hota hai k Shayad mujhey woh bohat chahti hai Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay Woh mujh sey kuch kehna chahti hai Meray pochnay per kuch sharma si jati hai Kuch ghabra si jati hai ?Suniyey? keh kar bhaag jati hai Ajnabi larki shayad pyaar karti hai mujh sey Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey Dil bhi kitna pagal hai Kiya kiya sochta rehta hai Kuch masoom sey jazbey hain Kuch undekhey sapney hain Mager woh nahin janti shayad?!!! Meri Zindagi Hai Wo?

Khoyi Khoyi Si Dheemi Dheemi Si Thori Unkahi Thori Si Muskuraati Do Dilon Ki Hai Ijazat Mera Naam Hai Mohabbat Do Dilon Ki Hai Ijazat Mera Naam Hai Mohabbat Bheege Sapney Kachi Yaaadein Choti Choti Dil Ki Baatein Kehti Hai Yeh Zindagi Kaisi Hai Deewangi Koi Rehta Hai Aahaton Ke Sahaarey Choolun To Sansanahat Mera Naam Hai Mohabbat Choolun To Sansanahat Mera Naam Hai Mohabbat Kuch Tehreerein Likhte Rehna Apne Ghar Mein Chalte Rehna Anjaani Baaton Mein Bhi Hoti Hai Dil Ki Lagi Sookhe Lamhon Mein Baarishon Ke Kinaarey Honton Pe Hai Shararat Mera Naam Hai Mohabbat Honton Pe Hai Shararat Mera Naam Hai Mohabbat Kanta na hota, toh phool ki hefazath na hoti, Andhera na hota,to roshini ki zarurath na hoti, Agar mil jati har khushi duniya me, Toh dil ki mulaqath dard se na hoti

Ek shakhs ko deakha tha Taron ki tarha Hamney Ek shaks ko chaaha tha Apnon ki tarha Hamney Ek shaks ko samjha tha Phoolon ki tarhaa Hamney Wo shaks qayamat tha Kya uski karein Batain Din us ky liye Paida Aur uski he thi Ratain Kab milta kisi se tha Ham se thi mulaqatain Rang uska Shahaabi tha Zulfon mein thi Mehkarein Aankhain thi ke jaadu tha Palkain thi k talwarain Dushman bi agar dekhein so jaan se dil Harain Kuch tum se wo milta tha Baton mein shahaabat thi Han tum sa hi lagtaa tha Shokhi mein sharaarat main Lagta bhi tumhe sa tha Dastur-e-mohabbat main Wo shaks hamain aik din Apnon ki tarhaa Bhoolla Taron ki tarha doobba Phoolon ki tarha tootta Phir haath na aaya woh Hamney bohat dhoondha Tum kis liye chonkey hom Kab zikar tumhar hai Kab tum se takaaza hai Kab tum se shikaayat hai Ikk taaza Hikayat hai Sun lo tou inayat hai Ek shaks ko chaaha tha Apnon ki tarha Hamney. (Hikaayat:Saying)(Chonkey:Shocked)(Dastur-e-Mohabbat:Rules of Love)