Mein sajaaon kis liye deewar-o-dar, Mere ghar jab koi ata hi nahin..
Mein sajaaon kis liye deewar-o-dar, Mere ghar jab koi ata hi nahin..
Haadsey bhi shaoor rakhtey hain, Dhoond lete hain gham ke maron ko..
Jaaney kis dil se muskuratey hain, Woh jo andar se toot jatey hain..
Waasal e yaar ki khawaish me aksar, Charagh e sham se pehle jala hon.
Mujhe fursat mein apne halaat per, Agar tu na aaye to reham ata hai..
Zindagi ab kis tarah bassar ho gi, Dil nahin lag raha mohabbat main..
Dil ki dharkan ki ye khush andeshi.. Jesay guzray hein wo baraber sey!
Samander hai meri takhleeq lekin.. Mein qatra hun uchalna chahta hun.!
Kaash un k amal bhi hon achay. . Jin ki baatain boht hi piyari hain. .
Din katta jis tarah katta lekin, Raat katt’ti nazar nahin aati..
Unki basti se pehlay qabristan, Anjam-e-mohabat ke liye ik ishara tha..
Kis ne kheenchi hayat ki tasweer? Hath mein jaam, Paon mein zanjeer. . !
Mukhliss har kisi ke sath rehta hoon, Shayed isi liye udaas rehta hoon..
Lota’a do mujhe mere sarey sapne, Mera woh bachpan aur mere apne..
Ajeeb husan hai teri udas ankhon me, Sakoot e subh azal ka kheal ata hai.