Eid ka din bhi shab-e-hijar ki suurat guzra, Dost aya na koi aur na tum hi aaye..

Is qurbaani ki Eid pe kuch aur na sahi, Hum apni hasrtain hi qurbaan karte hain..

Itne Majboor The Eid Ke Roz Taqdeer Se Hum Ro Pade Milke Gale Apki Tasweer Se Hum

Tujhe meri na mujhe teri khabar jaye gi Eid ab ke baar dabey paaon guzar jaye gi..

Chaand chehrey ko tere dekha to ehsaas hua, Eid to kal hai magar aaj manaa li jaye..

Wese to nahin miltey, chalo kar lein bahana, Seeney se lag ke mere kaho Eid mubarak..

Chaand dekha to yaad ayi hai teri surat, Hath uthte hain magar harf-e-dua yaad nahin..

Eid ke roz bhi taqdeer se majboor they hum, Ro parre mil ke gale aap ki tasveer se hum..

Chalo Acha Hua Eid Ab ke Bhi tanha Guzri, Galay Mil ke Bohat Rote Jo Tum aa Jaate…

Masoom say Armaano ki Masoom si Duniyaa Jo kar Gaye Barbaad Unhain Eid Mubaarak …!

Meri Eid Ka Ta’alluq Teri Deed Sey Raha HaiNa Hoyee Deed Teri Na Hoyee Hai Eid Meri

Eid ke chaand ghareebon ko pareshan na kar, Tujh ko maloom nahin ghareeb ki haal mein hai..

Jis din wo kahe mujh ko gallay apne laga lo, Wo roz, roz-e-eid ho, wo shab, shab-e-baraat..

Bata kon se mausam main umeed-e-wafaa rakhen, Tujh ko jo eid ke din bhi hum yaad nahin aye..

Eid Ka Din Hai Or Hum Tum Se Door Bethe HainSitaro Tum Q Khamosh Ho Hum To Majboor Bethe Hain