haledil main ne jo duniya ko sunana chahamujh ko har shakhs ne dil apana dikhana chahaapni tasvir banane ki liye duniya meinmain ne har rang pe ik rang chadhana chahakhakedil jauhareaina ki kam aa hi gailakh duniya ne nigahon se girna chahasholaebarq se gulashan ko bachane ki liyemain ne har aag ko sine mein chupana chahaapne aibon ko chupane ki liye duniya meinmain ne har shakhs pe ilzam lagana chahagairatemauj use phenk gai sahil pardubne wale ne jab shor machana chaha Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Karrar Noori

Duniya Kisi Ke Pyaar Mein Zannat Se Kam NahinEk Dilruba Hai Dil Mein Jo Phoolon Se Kam NahinDuniya Kisi Ke Pyaar Mein…Tum BaadshaahEHusn Ho HusnEJaahan HoJaanEBafa Ho Aur Mohabbat Ki Shaan HoJalwein Tumhare Husn Ke Taaron Se Kam NahinDuniya Kisi Ke Pyaar Mein…Bhule Se Muskuraaon Tou Moti Baarash PadePalke Utha Ke Dekhon Tou Kaliya Bhi Hash PadeKhushbu Tumhari Julf Ki Phoolon Se Kam NahinDuniya Kisi Ke Pyaar Mein Zannat Se Kam NahinEk Dilruba Hai Dil Mein Jo Phoolon Se Kam NahinDuniya Kisi Ke Pyaar Mein…

Shab tum jo bazmeghair mein aankhen chura gayekhoye gaye hum aise ke agyar pa gayemajalis mein us ne pan diya apne hath seagyar sabz bakht the hum zeher kha gayegairon se ho wo pardanashin kyon na behijabdam hay beasar mere parda utha gayewaiz ke zikremehareqayamat ko kya kahunaalam shabevasl ke aankhon mein cha gayeduniya hi se gaya main jo nahi naz se kahaab bhi gumanebad na gaye tere ya gayeae “momin” aap kab se hue bandaebutanbare hamare ??? mein hazarat bhi aa gayePoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Momin Khan Momin

hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tukahan gaya hai mere shahar ke musafir tubahut udas hai ik shakhs tere jane sejo ho sake to chala aa usi ke khatir tumeri misal ki ik nakhlekhushkesahara huntera khayal ki shakhechaman ka tair tumain janata hun ke duniya tujhe badal degimain manata hun ke aisa nahi bazahir tuhansi khushi se bichad ja agar bichadana haiye har maqam pe kya sochata hai aakhir tu‘faraz’ tune use mushkilon mein dal diyazamana sahibezar aur sirf shayar tuPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz

Ye tajaruba bhi karun ye bhi kar dikhalaun mainki khud ko yaad rakhun us ko bhool jaun mainfarebekar mein kuch to hai koi baat to haiki jan bujh ke itane fareb khaun mainwo pal kahan hain jo duniya se jodata tha mujhejo paun tujh ko to sab ke qarib aaun mainkabhi to ho mere ehasasekamtari mein kamikabhi to ho ki use khul ke aaun mainwo shakhs hai ki nasimesahar ka jhonka haibikhar hi jaun jo us ko gale lagaun mainazan ke bad dua ko jo hath uthaye wo‘imam’ apni namazen bhi bhool jaun main Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mazhar Imam

Dukh dard ke saugat hai duniya teri kya haiashkon se bhari raat hai duniya teri kya haikuch log yahan nuresahar dhundh rahe haintarik si ik raat hai duniya teri kya haipabandemashiyat hai tanaffus bhi nazar bhiik jaziyaelamhat hai duniya teri kya haitaqadir ke chehare ke shikan dekh raha hunaainaehalat hai duniya teri kya haimajaruhetaqaddus hai taqaddus ke haqiqatrudadekharabat hai duniya teri kya hai“sagar” mein chalakate hain samavat ke isararsaqi ke karamat hai duniya teri kya hai Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Siddiqui

maujegul, maujesaba, maujesahar lagti haisar se pa tak wo saman hai ki nazar lagti haihum ne har gham sajdon e jalaye hain chiragab teri rahaguzar rahaguzar lagti hailamhe lamhe basi hai teri yadon ke mahakaj ke raat to khushbu ka safar lagti haijal gaya apna nasheman to koi baat nahidekhana ye hai ki ab aag kidhar lagti haisari duniya mein garibon ka lahu bahata haihar zamin mujhko mere khoon se tar lagti haivaqya shahar mein kal to koi aisa na huaye to “akhtar” ke daftar ke khabar lagti haiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jan Nissar Akhta

Ye chandani bhi jin ko choote hue darati haiduniya unhin phoolon kopairon se masalati haishoharat ke bulandi bhi pal bhar ka tamasha haijis dal pe baithe ho wo toot bhi sakati hailoban mein chingari jaise koi rakh deyun yaad teri shab bhar sine mein sulagati haiaa jata hai khud khench kar dil sine se patari parjab raat ke sarahad se ik rel guzarati haiaansu kabhi palkon par ta der nahi rukateud jate hain ue panchi jab shakh lachakati haikhush rang parindon ke laut aane ke din aayebichde hue milate hain jab barf pighalati haiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bashir Bad

Uttho meri duniya ke garibon ko jaga dokhakeumara ke darodivar hila dogarmao gulamon ka lahu sozeyaqin sekunjishkephiromaya ko shahin se lada dosultaniejamahur ka aata hai zamanajo naqshekuhan tum ko nazar aaye mita dojis khet se dahaqan ko mayassar nahi rozius khet ke har khoshaegundam ko jala dokyon khaliqomakhaluq mein hayal rahen pardepiranekalisa ko kalisa se hata domain nakhushobezar hun marmar ke silon semere liye matti ka haram aur bana dotahazibenavin kargaheshishagaran haiaadabejunun shayaremashriq ko sikha doPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sir Muhammad Iqbal

Tang aa chuke hain kashmakashezindagi se humthukra na den jahan ko kaheen bedili se hummayusiema’alemohabbat na puchiyeapanon se pesh aaye hain beganagi se humlo aj hum ne tod diya rishtaeummidlo ab kabhi gila na karenge kisi se humubharenge ek bar abhi dil ke valvalego dab gaye hain baregamezindagi se humgar zindagi mein mil gaye phir ittafaq sepuchenge apna hal teri bebasi se humALLAH re farebemasahiyat ke aj takduniya ke zulm sahate rahe khamoshi se humhum gamzada hain laye kahan se khushi ke geetdenge wahi jo payenge is zindagi se humPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi

Duniya ne hum pe jab koi ilzam rakh diyahum ne muqabil us ke tera naam rakh diyaik khas had pe aa gai jab teri berukhinaam us ka hum ne gardisheayyam rakh diyamain ladkhada raha hun tujhe dekhdekh kartune to mere samane ik jam rakh diyakitna sitamzarif hai wo sahibejamalus ne diya jala ke labebam rakh diyainsan aur dekhe bagair us ko man leik khauf ka bashar ne khuda naam rakh diyaab jis ke jee mein aaye wohi paye roshnihum ne to dil jala ke saream rakh diyakya masalahatshanas tha wo aadmi ‘qateel’majaburiyon ka jis ne wafa naam rakh diyaPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai

Kisi kali ne bhi dekha na aankh bhar ke mujheguzar gai jarasegul udas kar ke mujhemain so raha tha kisi yaad ke shabistan meinjaga ke chod gaye qafile sahar ke mujhemain ro raha tha muqaddar ke sakht rahon meinuda ke le gaya jadu teri nazar ka mujhemain teri dard ke tugiyaniyon mein dub gayapukarate rahe tare ubhar ubhar ke mujhetere firaq ke raten kabhi na bhulengimaze mile inhin raton mein umr bhar ke mujhezara si der thaharne de ae gameduniyabula raha hai koi bam se utar ke mujhephir aj aayi thi ik maujehavaetarabsuna gai hai fasane idharudhar ke mujhePoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi

Duniya mein hun duniya ka talabgar nahi hunbazar se guzra hun kharidar nahi hunzinda hun magar zist ke lazzat nahi baqihar chand ki hun hosh mein hoshiyar nahi hunis khanaehasti se guzar jaunga belaussaya hun faqat naqshedivar nahi hunafasurda hun ibarat se dawa ke nahi hajatgham ka mujhe ye zauf hai bimar nahi hunwo gul hun khizan ne jise barbad kiya haiuljhun kisi daman se main wo khar nahi hunyarab mujhe mahafus rakh us but ke sitam semain us ke inayat ka talabgar nahi hunafasurdagiojaur ke kuch had nahi “akbar”kafir ke muqabil mein bhi dindar nahi hunPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akbar Allahabadi

Labe khamosh se afsha hogaraz har rang mein rusva hogadil ke sahara mein chali sard hawaabr gulzar pe barasa hogatum nahi the to sarebamekhayalyaad ka koi sitara hogakis tavaqqo pe kisi ko dekhenkoi tum se bhi hasin kya hogazinatehalqaeagosh banodur baithoge to charcha hogazulmateshab mein bhi sharmate hodard chamakega to phir kya hogajis bhi fankar ka shahakar ho tumus ne sadiyon tumhen socha hogakis qadar karb se chataki hai kalishakh se gul koi tuta hogaumr bhar roye faqat is dhun meinraat biti to ujala hogasari duniya hamen pahachanati haikoi hamsa bhi na tanha hogaPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Nadeem Qasmi

Lai hayat aaye qaza le chali chalena apni khushi aaye na apni khushi chalebehatar to hai yahi ke na duniya se dil lagepar kya karen jo kam na bedillagi chaleho umrekhizr bhi to kahenge bavaqtemarghum kya rahe yahan abhi aaye abhi chaleduniya ne kis ka rahefana mein diya hai sathtum bhi chale chalo yun hi jab tak chali chalenazan na ho khirad pe jo hona hai wo hi hodanish teri na kuch meri danishvari chalekam honge is bisat pe hum jaise badqimarjo chal hum chale wo nihayat buri chaleja ki havaeshauq mein hain is chaman se ‘zauq’apni bala se badesaba kaheen chale Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Zauq