Aajo Ki Doorie Abb Sahi Nahi JaatiAbb Apke Bin Yeh Nazre Kahin Nahi JaatiPal Pal Tadap Rahi Hai Yeh Pagli Apki Yaad MeAbb Yeh Tanhai Ki Jung Mujse Akeli Ladi Nahi JaatiAap Se Mulaqat Ki Intezar Me Bekarar Hota Hai DilApke Naam K Bin Yeh Sanse Bhi Badi Nahi JaatiApke Intezar Me Sajti Sawarti Hai Yeh PagliAapko Yaad Na Karun Dinme Aisi Koi Ghadi Nahi JatiAajo Ki Doorie Abb Sahi Nahi JaatiAbb Apke Bin Yeh Nazre Kahin Nahi Jaati

Mita Dain Gay Yeh Doori, Yeh Faslay Sab HiKaho Gi Aik Baar K Milo Aa K KabhiNa Hoon Gay Door Phir Tum Say Is Zindagi MainKhulra Rakho Tum Dar Apna, Hum Aatay Hain Abhi

Meri Guftagu Ke Har Andaaz Ko Samjhta HaiEk Wohi Hai Jo Mujpe Aitmaad Rakhta Hai…Door Hoke Bhi Mujse Hai Wo Itna Kareeb…Aisa Lagta Hai Mere AasPass Rehta Hai…..Share By :   Shabbir Abbas

Doorie Ho To Phir “AHSAS” Hota Hai,“DOST” K Bina Jeevan “UDAAS” Hota Hai,“UMER” Ho Aap Ki Sitaron Jitni LambiAisa “DOST” Kahan Aur Kisi K “PAAS” Hota Hai

aabalapa koi is dasht mai aaya hogavarna aandhi mai diya kis ne jalaya hogazarre zarre pe jade honge kunvare sajdeek ek but ko khuda us ne banaya hogapyas jalate huye kanton ke bujhai hogirisate pani ko hatheli pe sajaya hogamil gaya hoga agar koi sunahari pattharapana tuta hua dil yad to aaya hogakhun ke chinte kaheen poch na lain rehron sekis ne virane ko gulzar banaya hogaPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Meena Kumari ‘Naaz’

Ye Kaisi Doori Hain Humare BeechAnchahi Majboori Hain Humare BeechLaakh Koshishon Kei Baad Bhi Naa Aa Sake KareebKaisi Lakhon Meel Kii Doori Hain Hamare BeechDharkano Se Dharkano Ka Gehra Rishta Hai Do Dilon KaaPhir Kyon Do Jismo Ki Doori Hai Humare BeechSaath Samundra Ka Faasla Hai Humare Milan MainKyon Waqt Ki Kami Hai Humare BeechPyar Beshumar Hai Humare Masoom Dilon MainPhir Kaisi Laachaari Hai Humare BeechDo Dilon Main Duri Kaa Door Tak Koi Nishaa NahiPhir Kyon Hoti Hai Aansuo Ki Barsaat Humare BeechYe Kaisi Doori Hain Humare BeechAnchahi Majboori Hain Humare Beech

Sukoon Bhi Kharab Hua, Nend Bhi Hay Kam Kam PhirQareeb Aane Laga Wo, Dooriyon Ka Mosam PhirWo Narm Lehje Main Kuch Kehla Raha Hay Phir Mujh SayChirra Hay Piyar K Komal, Suron Main Asli Madham PhirTujhe Manaon K Apni Anaa Ki Baat SunooUlajh Raha Hay Mere Feslon Ka Resham PhirNa Uski Baat Main Smjhun, Na Wo Meri Ye NazrenMuamilaat E Zabaan Ek Bar Ho Chalay Hen Mub’ham PhirWo Aik Lamha K Jab Saaray, Rang Aik Say HoeKisi Bahar Ne Kabhi Dekha Na Aisa Sangam PhirBuht Azeez Hen Aankhen, Meri Us Ko LekinWo Jatay Jatay Holay Say, Unhen Kar Gaya Hay Purnam PhirSukoon Bhi Kharab Hua, Nend Bhi Hay Kam Kam PhirQareeb Aane Laga Wo, Dooriyon Ka Mosam PhirShare By : Mujeeb Laghari

Lamha Lamha Doori Yun Pighalti HaiJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HaiHo Lamha Lamha Doori Yun Pighalti HaiJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HaiKhwaahishon Ki Shaam Dhalti HainJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HaiLa La La …Teri Aankhen Dikhati HaiHamein Sapanen Sitaaron KeHo Ho HoTere Hothon Pe Likha HaiJo Tum Bole Ishaaron MeinHo Ho HoKhwaabon Ke Karwaan Mein Raat Chalti HaiJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HainLa La La…Behakti Shaam Aayi HaiTujhe Lekar Ke Baahon MeinTujhe Chhu Loon Ke Rakhu MainChhupakar Ke Nigaahon MeinSharmati Ithlaati Hai Machalti HaiJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HainHo Lamha Lamha Doori Yun Pighalti HaiJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HaiKhwaahishon Ki Shaam Dhalti HainJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HaiLa La La …

aqs karne ka mila hukm jo dariyaon meinhum ne khush hoke bhanvar bandh liye paon meinun ko bhi hai kisi bhige hue manzar ke talashbund tak bo na sake jo kabhi saharaon meinae mere hamsafaron tumbhi thakehare hodhup ke tum to milavat na karo chaon meinjo bhi aata hai batata hai naya koi ilajbaat na jaye tera bimar masihaon meinhausla kis mein hai yusuf ke kharidari kaab to mahangai ke charche hai zulaikhaon meinmoderator’s note:references to yusuf and zulaikha can befound in various ghazals and nazms yusuf (joseph), son ofyaqub (jacob) was a very handsome man he was sold inmarket of egypt where he was bought by zulaikha zulaikhamarried him after her husband diedjis barahaman ne kaha hai ke ye saal acha haius ko dafnao mere hath ke rekhaon meinmoderator’s note:the first misra (line) is obviously a reference to ghalib’s“ik barhamin ne kaha hai ki ye saal acha hai”wo khuda hai kisi tute hue dil mein hogamasjidon mein use dhundho na kalisaon meinhum ko aapas mein muhabbat nahi karne deteik yahi aib hai is shahar ke danaon meinmujh se karte hain “qateel” is liye kuch log hasadkyon mere sher hain maqabul hasinaon mein  Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Qateel Shifai