Phattar ki mortain nazar ati hy char-so ya rab tery jaha ko ye kia dafataan howa hy  

Khudaya apne farishtey na bhej duniyaa mein, Mein aadmi hoon farishton ke sath kese rahoon..

Takhleeq-q  kainat ke dilchasp juram par hansta ho ga app bhi yazdan kabhi kabhi  

Usi ne aaj bataya mujhe ke kaun hoon mein, Woh jis ko aaj se pehle mein janta bhi na tha…

Theher jaao to nahin hai bastiyon main raasta, Chal parro to paniyon main rah guzar maujood hi..

Chottiyan chuu kar guzartey hain, barastey kyon nahin, Baadlon ki aik surat aadmi jesi bhi hai..

Bohat is ko bulata hoon, bohat samjhata hoon lekin Yeh ayiney mein betha shakhs bahar kyon nahin ata…

Ajnabi Se Nazar Aye Tere Chehere Ke Naqosh, Jab Tere Hussn Pe mene Nazar-e-Saani Ki.. (nazar-e-saani;focus)

Dhoond leti hai mujhko dhoondne wali nazar, Apne saaye ko agarchey la’pata rakhta hoon mein.. Khalid Sherazi

Palat kar aankh num karna humain hargiz nahi aata Gaey lamhon ka gham karna humain hargiz nahi aata Muhabbat ho to be had ho jo nafrat ho to bey payaan Koi bhi kaam kum karna humain hargiz nahi aata….!!!

Garmi sardi ka ehsaas badan per rehne do, Apne mann ko tann ki sab takleefain sehne do, Apne kaanon ko sab shor sharaba sun’ne do, Apni zubaan ko saari sachi batain kehne do, Apni aankh ke chashme mein sab manzar behne do, Palkon ki is raah ke sarey kaantey chun’ne do, Apni zaat ke pathreeley aur banjar-pan mein Saad, Umeedon ka garam aur meetha chashma behne do..

Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne gheri. Andar khvaab vichoda hoya, khabar na paindi teri. Sunni ban vich lutti saiyaan, chor shaang ne gheri. Mullah qazi saahnu raah bataavan, dein dharam de pheri. Eh taan thug ne jagg de jheevar, laavan jaal chuferi. Karam sharaan de dharam bataavan, sangal paavan pairi, Zaat mazhab eh ishk na puchhda, ishk shara da vairi. Nadiyon paar mulak sajan da, lobh lehar ne gheri, Satgur beddi phaddi khalote, taen kyun layi a deri. Bulla shah shauh tennu milsi, dil nu deh dileri, Preetam paas te tolna kisnu, bhulliyon sikhar dupehri. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne gheri.