Khod se bhi tor choka hon me taluq apna, Abb meri rah me hael koi diwar nahin.

Zara na moom hoa piar ki hararat se, Chatakh k toot gea dil ka sakhan aisa tha.

Zakhmon k bawajod mera hosala to daikh, To hans dia to me bhi tere sath hans dia.

Dobe hoe taron ka ye matam nahin karti, Charhate hoe soraj ki pursatar hai dunia.

Qaid mere jisam k andar koi wehshi na ho, Sans leta hon to ati hai sada zanjeer ki.

Shaid wahan ponche na zamane ki nazar bhi, Jo zakham muje teri muhabbat ne dia hai.

Zakhmii huye jo hont to mehsoos yeh hua, Chooma tha kisi phool ko deewangi ke sath..

Saad haif us k hath hai har zakham ka rafo, Daman me jis k aik bhi taar e wafa nahin.

Zakham darwaza nahin hai k mukfil kar lain, Zakham har hall me aghosh kasha hota hai.

Hiyat lazat e awaz ka hai dosara naam, Namak chirak to chirak zakham par dawa na laga.

Saboot-e-be-ghunahi reh gya khiyalon main, rakha safayi ka yaron ny har biyan ghar main..

Meri pehchan to mushkil thi magar yaroon ne, Zakham apne jo karide hain to paea hai muje.

Zahir me to hamdard hi atey hain nazar log, Zakhmon ko merey cherney atey hain magar log..

Ishiq e ruswa tere har daam e farozan ki qasam, Mere sene me kai zakham hare aur bhi hain.

Aaj Itna Udaas Hoon “Nasir”, Jaise Zulfaien Kisi Jawan Bewa Ki..!! (bewa;widow)