Dobna tha jo kashti ka mukadar! Ya raab!! Ankh key samney aye kash sahil na hota..

Dil key werany mein kis yaad ka jhonka guzra.. Kis ney ye rait per phool mehkaye.!!

Khawab hi khawab kab tak dekh’on!! Kash tujh ko bhi ik jhalak dekh’on.!

Chali hai thaam k badal k hath, Khushbu. ! Hawa k sath safar ka muqabla thehra. . !

Qisa e shoq pe hain yon wo nigahen barham, Jaise hum ae hain kuch sikwa ba ja le k.

Ghairon se iltafat pe toka to yon kaha, Dunia me bat bhi na karain kia kisi se hum.

Kis qadar ho ga yahan mehr-o-wafa ka maatam Hum teri yaad se jis roz uter jaingy. .

Tohfan ki doshmani se na bachate to khair thi, Sahel se dosti k bharam ne dabo dia.

Khara tha mein bezwi-e-hawaj k kinaray. . Wohi thi ya leher chaandni ki uthi hui. .

Hamari taraf ab wo kam dekhtay hain. . Wo nazrain nahi, jinko hum dekhtay hain. . !

Kitne ache hain mere ghar k purane bartan, Chat tapakti hai kecher nahin hone daite.

Umer bhar ki nigahon me khataka hi raha, Juram itana tha k haq goi mera muslik rahi.

Dhond ojare hoe logon me wafa k moti, Ye khazane tuje mumkin hai kharabob me milain.

Guftugu kisi se ho, tera dehan rehta hai Toot toot jata hai silsila takallum ka. . !

Gar bahar tamasha wo lab-o-baam per aaway To sari khudai ka tamasha nazar aaway. . !