Bicharnay walay tujhey dekh dekh kar sochta hun, Tu jab milay ga tu kitna badal chukka hoga..

Talaaq de to rahe ho ataab-o-qehar ke sath, Ke mera shabaab bhi lauta do mere mehar ke sath..

Kitaab-e-ishq likhne ka abhi waqt nahin milta, Bewafaai per abhi tak meri tehreer jaari hai..

Woh tere pass se chup chaap guzar kese geya, Dil-e be’taab! Qayamat na uthaa di tu ne..

Tarteeb-E-Sitam Ka Bhi Saleeqa Tha Usay, Pehle Pagal Kiya Aur Phir Mujhe Pathar Maaray…

Os bolandi sy tu ny nawaza kuin tha gir ke may toot  gia kanch ke bartan ki tarah  

Tuj me bhi kuch hoshmandana adaen aa gaen, Tuj se bhi abb bad guman hain ae dil e diwana hum.

Ana’aa parasat hai itna ke har baat se pehle, Woh uthh ke band meri har kitaab kar de..

Aaney mein sada’a dair lagatey hi rahe tum, Jaatey rahe hum jaan se aatey hi rahe tum..

Mein tou usko dekhtay hi jaisy pathar ho gaya Baat tak na munh se nikli be-wafa k saamney. . !

Shayed yeh us ke gham main sulagney ka hai asar, Itna dard to meri tehreer mein pehle na tha..

Poochna chahta hoon main yeh un aankhon se Jamal, Kis ko abaad kiya hai mujhe be-ghar kar ke..

Apni beeti jag beeti hy jab sy dil ny jan lia hy Hansty hansty jewan guzra rona dhona bhol gia

Ghairon se kaha tum ne, ghairon se suna tum ne, Kuch hum se kaha hota, kuch hum se suna hota..

Chalo itna tou nikla kaam baham aashnai se. . ! Wafa se hum ho gaye aashna tum be-wafai se. . !