Suno! Tum Azm Walay Ho Bala Ka Zabt Rakhtay Ho Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga Magar Dekho Jisay Tum Chhoray Jatay Ho Usay Tou Theek Se Shayad Bichharna Bhi Nahi Aata Suno! Tum Azam Walay Ho Usay Matt Chhor Ke Jao.

Dil Udaas Rehta Hai Baarishon Ke Mausam Mein Zindagi Pighalti Hai Khwaahishon ke Mausam Mein Waqt Thehar Jata Hai Muntazir Nigahon Mein Janglon Ke Khatray Hain Bastion Ki Raahon Mein Ho Sake Tou Lout Aana Pyar Ki Panahon Mein.. Ishq Ka Ijaara Hai Dil Ki Shahraaon Pe

Har Din Hy Mohabbat Ka Har Raat Mohabbat Ki, Hum Ehl-E-Mohabbat Hyn Hr Baat Mohabbat Ki, …Hum Dard K Maro’n Ka Itna Sa Hawala Hy, Tanhai Hy Ghar Apna Or Zaat Mohabbat Ki, Seenay Mein Utarty Hyn Alfaz Mohabbat K, Aankho’n Se Barasti Hy Barsaat Mohabbat Ki. . .

wafa ke qaid khanon main sazain kab badalti hain badalta dil ka mausam hai hawain kab badalti hain meri sari duaain tum se hi mansoob hain ae dost mohabbat ho agar sachi duaain kab badalti hain koi paakar nibhata hai koi kho kar nibhata hai naye andaz hotey hain wafayen kab badalti hain

Kafi Arsa Beet Gya Jane Ab Wo Kesa Hoga? Waqt Ki Sari Karvi Baten Chup Chap Hi Sehta Hoga Ab B Bhigi Barish Mein Wo Bin Chatri K Chalta Hoga Mujh Se Bichrre Arsa Beeta Ab Wo Kis Se Lrrta Hoga Acha Tha Jo Sath Hi Rehte Bad Men Usne Socha Hoga Apne Dil Ki Sari Baten Khud Se Khud Hi Kehta Hoga?

Jab kabhi tera dil gabraye to lot ana Agr tujhe meri yaad sataye to lot ana Kuch waqt acha guzara hai sath tumhare Us waqt ki awaz ay to lot ana Aik waqt k lye sub he dost ban jate hain Jab koi tjhe thukraye tau lot ana Najane kaise din raat teri yad mein guzarte hain Ye paigam mil jaye tau lot ana.

Shikayat Kya Karun Dono Taraf Ghum Ka Fasana Hai Mere Aage Mohabbat Hai Tere Aage Zamana Hai, Pukara Hai Tujhe Manzil Ne Lekin Main Kahan Jaon Bicharh Kar Teri Duniya Se Kahan Mera Thikana Hai, Mubarak Ho Tujhe Jan-E-Wafa Majboriyan Teri, Mujhe To Zindagi Bhar Piyar Ka Waada Nibhana Hai…..!!!!

Theher jaao ke hairaanii tu jaaye tumhaarii shakl pahachaanii tu jaaye shab-e-Gam tuu hii mahamaan ban ke aajaa hamaare ghar kii viraanii tu jaaye …… zaraa khul kar bhii ro lene do ham ko ke dil kii aag tak paanii ho jaaye balaa se toorr Daalo aaeenon ko kisii suurat ye hairaanii tu jaaye

Beet gaye hain kitney din, Jab tum ney ye mujhsey kaha tha: “Tum mujhko achi lagti ho” Or merey hathon par tum ney, Ek wo lamha chor dia tha, Wo lamha jo an dekhi zanjeer ki sorat, Rooh sey lipta dil me utra, Khoon me tayr gaya, Aj usi lamhey ko thamey, Khari hoi hun seerhi par. Fatima Hassan

~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~ Agar Be-gharz Ho Jazba Agar Manzil baney Rasta … Agar Chahat k Pardey Main Koi Lalach Na Ho Lipta Agar Tum Sonp Do Sab Kuch Silay Main Kuch Na Maango Agar Sauda Na Ho Koi Mohabbat Bas Mohabbat Ho Tou Phir Ye Sukh Hi Deti Hy Kabhi Dukh Nahi Deti ~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~

maine jab likhna seekha tha Pehlay tera naam likha tha Main wo sab r sammem hoon jis ney bar e imanat sar per liya tha too ney koyun mera hath na pakra main jab raastey sey bhatka tha main wo ism e azeem hoon jis ko jin o malik ney sajda kiya tha pehli barish bhejney waley main teray darshan ka piyasa tha

Zindagi ki Rahon mein Oonch neech hoti hay, Faaslay bhi bharty hain Chahatain bhi lut ti hain Rait kay toofano mein …Siskiyan bhi rulti hain Ye bhi ain mumkin hay Aj hum ikatt’hy hain Kal ko sath ho na hon chahay kuch bhi ho jaye Hoslon ko na khona Bay waja bhi na rona BAS ! TUM UDAS NA HONA..!!…

Woh bakhshta hai Gunah e azeem bhi lekin Hamari choti si naiki bhi sambhal rakhta hai Hum usey bhool jate hain roshni mein Woh tareeki mein bhi khayal rakhta hai … Jab kabhi der se lotun to meri Maan ki tarah Woh mere rizk ka hissa nikaal rakhta hai Gharon mein jin ke diya bhi nahi hai Fiza mein chand sitarey uchaal rakhta hai

Sun li jo khuda ney wo dua tum to nahi ho, Darwazey pey dastak ki sada tum to nahi ho, Simti hoi sharmai hoi rat ki rani, Soi hoi kaliyon ki haya tum to nahi ho, Mehsoos kiya tum ko to geeli hoien palkien, Bheegey hoye mosam ki ada tum to nahi ho, In ajnabi rahon me nahi koi bhi mera, Kis ney mujhey yon apna kaha tum to nahi ho. Bashir Bad

Jo hukm deta hai woh ilteja bhi karta hai, Yeh aasmaan kahi par jhuka bhi karta hai, Mein apni haar pe nadim hoon is yaqeen ke saath Ke apne ghar ki hifazat khuda bhi karta hai. Tu bewafa hai to le ek buri khabar bhi sun le, Ke intezar mera koi doosra bhi karta hai. Haseen logon se milne par aitraaz na kar, Yeh jurm woh hai jo shaadi shuda bhi karta hai..