Tu meray liye hai yaad’on ki surat Tu hai ik janat ki murrat Tu meray sath ho to Mujhy nahi hai kesi ki zarort Tu sarey dukh samet leti hai aulaad key Tu hai maa ik puray jahan ki surat

Daikho tum mjuh sy.. Is bat pr Barham na hona Ky ye har waqt Ka milna theek Nahi hai Lekin Main kia krun Ky in yadon py In khwab’on py Mera ikhteyar nahi hai Tum Is bat pr Brham na hona

Is bat par mjhy tajub hota hai..!! Sari rat jo tum jagty rehty ho Sochty rehty ho Bs baithy baithy Tum Gum rehty ho Ankhon main Wo Surkhi Liye Subha ko college Jatay ho Tum kaisy parhty ho..??

Mein rah guzar mein khari hui hon Tumhari khatir ari hui hon Dukh’on sey daman wasi hai mera Inhi mein pal key bari hui hon Kisi ki mujh ko nahi hai parwah Mein teray dil mein jari hui hon

Ham aksar ye samajhte hain Jise ham piyar karte hain Usey ham bhool jate hain Magar aisa nahi hota Muhabbat daimi sach hai …Muhabbat Thehar Jati Hai…! Dill e nadan pe aksar Muhabat kehr dhati hai

Youn to pas sey hazar bar guzra Aaj is liye aya key bemar tha Sarkash lehja aur mathey pey bal Janey isey jis cheez ka khumar tha Wo ghusey mein aur bhi nikharta jar aha tha Ye us ka husn tha ya mera piyar tha

Pury sheher ko apny khilaf ker lety uske jurm ka hum aetraaf ker lety wo ik bar to kehta usy mohabat hai hum tamam rawayton se inkar ker lety wo ik bar bhi milny nahi aya warna uske dil ko uske khilaf kar lety

Is sey pehlay key ankh khul jaye Aa key hont’on sey’ meri aankh’on per Koi anmool khuwab likh jao Mera chehra gulaab leikh jao Bad mein aa key apney hath’on sey Mera jeewan sarab likh jao

Wo bohat tareef’ain krta tha meri wafa’on ki Jab bhola to laut ker na aya kabhi Mashoor ker di ek kahani meri jafa’on ki Is ney meray nam key sath nasb ker di ek takhti apni sari wafa’on ki

Mein rah’guzar mein khari hui hoon. . ! Tumhari khatir arri hui hoon Dukho’n se daaman wasee hai mera Inhi mein pal k barri hui hoon Kisi ki mujh ko nahi hai parwah Mein tery dil mein jurri hui hoon. . !

Jab jab sham dhaley gi Dil mein werani utrey gi Ankh’ein bhar ain gi Dil dard ki sorat dhal jaye ga Jab tu rasta badal jaye ga To jana’n…… Hum tanha jee paen gey Ya… mar jain gey..???

Wo bhi ro de ga usay haal sunaye’n kese Maum ka ghar hy chirago’n ko jalaye’n kese Duur hota tou usay dhoond bhi lete ‘Faraz’ Rooh main chup k jo betha hy usay paaye’n kese …

Agar tu mauj hai to phir, Main tere sath behtaa hoon, Agar tu chaand hai to phir, Main tere sath rehta hoon, Agar tu paas hai to phir, Main dil ki baat kehta hoon, Agar tu door hai to phir, Main tera hijar sehta hoon..

Pas-e-Parda Koi Na Tha Phir Bhi Ek Parda Khicha Raha Mujh Mein, Mujh Mein Aa Kay Gira Tha Ek Zakhmi Jaane Kab Tak Para Raha Mujh Mein, Itna Khaali Tha Androon Mera Kuch Dino To Khuda Raha Mujh Mein……….!

Tujhay mein bhool tou jaata. . Magar teray ta’aluq se. . Jo chehray saamney aaye. . Jo rastay saamney aaye. . Jo lamhey saamne aaye. . Jo rishtey saamney aaye. . Unhein kaisay bhulata mein. . Tujhy kaisy bhulata mein. .?