Yon phir raha hai kanch ka pekar lie hoe, Ghafal ko ye gaman hai k pathar na ae ga.

Khuda k waste mujhko khuda hi rahne do… Mazhab k naam par logon mere tukde na karo..

Aadmi ne poori jannat haar di, Sirf ek gandum ke daaney per.. (gandum;flour seeds, used to make roti)

Quran Haathon Mein Leke Naabiinaa Ek Namaazii Labon Pe Rakhataa Thaa Donon Aankhon Se Chuumataa Thaa Jhukaake Peshaanii Yuun Aqiidat Se Chhuu Rahaa Thaa Jo Aayatien Parh Nahiin Sakaa Un Ke Lams Mahasuus Kar Rahaa Ho Main Hairaan Hairaan Guzar Gayaa Thaa Main Hairaan Hairaan Thahar Gayaa Huun Tumhaare Haathon Ko Chuum Kar Chhuu Ke Apanii Aankhon Se Aaj Main Ne Jo Aayatien Parh Nahiin Sakaa Un Ke Lams Mahasuus Kar Liye Hain

Khudaa Humko Aisi Khudaayee Na De Ke Apne Siwaa Kuch Dikhaayee Na De Qataawaar Samjhegi Duniyaa Tujhe Ab Itni Ziyaada Safaayee Na De Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahut Qalam Cheen Le Roshnaayee Na De Khudaa Aise Ehsaas Ka Naam Hai Rahe Saamne Aur Dikhaayee Na De (Qataawaar = Guilty )(Roshnaayee = Ink)

Phir Un Ki Gali Main Pohnchay Ga Phir Sahu Kay Sajday Karay Ga Is Dil Par Bharosa Kon Karay Har Roz Musalman Hota Hay