Tum nahi gham nahi sharab nahiaisi tanhai ka javab nahigahe gahe ise pada kijedil se bahatar koi kitab nahijane kis kis ke maut aai haiaj rukh pe koi naqab nahiwo karam ungaliyon pe ginte hainzulm ka jinake kuch hisab nahiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saeed Rahi

Akele Yeh Zindagi Chirag Se Andhere Door Ho Jate,Toa Chand Ki Chahat Kise Hoti,Katt Sakti Akele Yeh Zindagi ToaDosti Naam Ki Ye Cheez Hi Kyo Hoti?Ek Din Hamare Aansoo Hum Se Pooch Baithe,Hame Roz Roz Kyu Bulate Ho?Humne Kaha, Hum Yaad Unhe Karte Hai,Tum Kyo Chale Atte Ho?

Akele Chand Ko Takna To Mujh Ko Yaad Ker LenaKisi Bhi Baat Pe Hansna To Mujh Ko Yaad Ker LenaBohat Say Kaam Aisay Hain Jinhein Kerna Zarori HayZarori Kaam Ko Kerna To Mujh Ko Yaad Ker LenaMohabat Wo Haqeqat Hay Jisay Badla Na Jaey GaKitabE Ishq Ko Perhna To Mujh Ko Yaad Ker Lena

Aaj Yeh Tanhai Ka Ehsaas Kuch Hadd Se Zyada HaiTere Sang Na Hone Ka Malaal Kuch Hadd Se Zyada HaiPhir Bhi Kaat Rahe Yeh Jiye Jane Ki Saza Yehi SochkarShayad Is Zindagani Mein Mere Gunaah Kuch Hadd Se Zyada HaiIf you have sad tanha poetry collection then share with us in comments section below

Kabhi Humko Rab Ki Khudai Ne Mara,Kabhi Sang Dil Mahboob Ki Judai Ne Mara,Bari Muddat Tak Kabhi Tanha Rahe Hai Hum,Kabhi Humko Ghamgeen Tanhai Ne Mara,Mahboob Se Hum Pyar Ka Ikrar Nahi Karte,Aur Hume Dar Aur Ruswai Ne Mara,Ye Tha Mera Mazi Aur Ab Mera Haal Ye,Mujhe Ab Mahboob Ki Bewafai Ne Mara…!!!

Jaan Se Pyari Jaan Ne Hume Chhod DiyaJaanker Jaan Ne Humse Muh Mod LiyaKya Manga Tha Humne Ek Pyar Ke SiwaKya Huwi Khata Humse Jo Yun Dil Mera Tod DiyaWade Hazaar Kiye Kyo Sab Todne Ke LiyeKyo Tum Humse Mile Yun Muh Modne Ke LiyeMerker Bhi Khus Rehte Hum Tere Sang Oh Jaan MeriKyo Tune Mujhe Jine Ko Akele Chood Diya

Hum Teri Dhun Main Jia Kartay ThayMan Me Hi Chup Chaap Phira Kartay ThayAankhon Main Pyaas Hua Karti ThiDil Main Tufan Utha Kartay ThaySach Samajhte Thay Teri Muhobbat KoDil Main Kya Phool Khila Kartay ThayGhar Ki Dewaar Sajaanay Ki KhaatirHam Tera Naam Likha Kartay ThayKal Tujhay Daik Kar Yaad AayaHam Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartay Thay

Ham To Bachapan Men Bhii Akele TheSirf Dil Kii Galii Men Khele The Ek Taraf Morche The Palakon KeEk Taraf Aansuuon Ke Rele The Thiin Sajii Hasaraten Duukaanon ParZindagii Ke Ajiib Mele The Aaj ZehanODil Bhuukon Marate HainUn Dinon Faake Bhii Ham Ne Jhele The KhudKashii Kyaa Gamon Kaa Hal BanatiiMaut Ke Apane Bhii Sau Jhamele The (Javed Akhtar)

Ban Jaon Agar Tum Sa Tumhay Kaisa Lagay Ga?Her Pal Main Rahoun Tum Se Khafa Kaisa Lagay Ga?Tum Pyar Main Khud Ko Bhi Mitane Pe Ho RaaziBan Jaye Agar Pyar Saza Kaisa Lagay Ga?Khud Se Bhi Zyada Ho Yaqeen Tum Ko Kisi ParWoh Shakhs Hi De Jaye Dagha Kaisa Lagay Ga?Tum Auron Ki Mehfil Ka Diya Ban Ke Jalo PhirTanhai Milay Tum Ko Sila Kaisa Lagay Ga!!??

BeKaraan Tanhaaiyun Ka Silsila Reh JaayegaTerey Merey Darmiyaan Bas Ek Khalaa Reh JaayegaAks Beh Jaayenge Saarey Dhoop Ke Sailaab MeinAur Koye Paaniyoun Mein Jhaankta Reh JaayegaMujhko Merey Humsafar, Aisa Safar Darpesh HaiRaasta Kat Bhi Gaya Tou Faasila Reh JaayegaLaug So Jaayenge Khaamushi Ki Chadar Odh KerChaand Sooney Aanganoun Mein Jaagta Reh Jaayega

Kahan Tak Phire Hum Akele AkeleBata Kuch Toh Humdum Akele AkeleSavere Savere Mere Haal Par AbWoh Roti Hai Shabnam Akele AkeleKasam Teri Tujhse Bahot Dur RehkarUthaye Bade Gham Akele AkeleKahan Tak Bhala Zakhmi DIl Apna SekeLagakar Marham Akele AkeleJudai Mein Teri Guzare Yeh KaiseBaharon Ka Mausam Akele AkeleMere Khwab Mein Jab Mar Chuka Hai TuKiya Humne Matam Akele Akele

Tere bare mein jab socha nahi thamain tanha tha magar itna nahi thateri tasvir se karta tha batenmere kamare mein aaina nahi thasamandar ne mujhe pyasa hi rakhamain jab sehra mein tha pyasa nahi thamananeruthane ke khel mein humbichad jayenge ye socha nahi thasuna hai band kar li us ne aankhenkai raton se wo soya nahi thaPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meraj Faizabadi

kisane wada kiya hai aane kahusn dekho garib khane karuh ko aaina dikhate haindarodivar muskurate hainaj ghar, ghar bana hai pahali bardil mein hai khush saliqagi bedarjama saman hai aishoishrat kakhauf dil mein farebeqismet kasozeqalbekalim aankon meinashkeummidobim aankhon meinchashmbarraheshauq ke marechand ke intazar mein tarePoet of the poem/ghazal or nazam : Josh Malihabadi

Jeevan Ke Is Safar Mein Woh Lamhe Mitaye Kaise,Jaate Jaate Yeh To Bata Ja Main Tujhko Bhulaon Kaise,In Jalti Bujhti Aankhon Mein Jo Pyar Ka Diya Roshan Tha,Us Diye Ki Roshni Ko Ab Main Bujhaon Kaise,Tumhi Ne Bataya Tha Ke Tanha Jiya Nahi Karte,Ab Tanha Chhod Gaye Ho To Khud Ko Samjhaon Kaise,Khwahishon Ki Takmeel Mein Dukho Ki Sugaat Liye,Apne Is Jeevan Ko Ab Main Bitaon Kaise..!!!

Tanhaii Ne Is Ko Bhi To Ghera ThaSir Se Lekar Paa’oo Tak Jo Mera ThaMai Bhi Pagal Itni Baat Na Jaan SakaIs Ka Aana Jogi Wala Phera ThaMaine Likha Lafz Ba Lafz Lahu Se JiskoWo Fasana Tera Tha Na Mera ThaHum Ne Jeeta Aadha Aadha Apna AapLaikin Mera Adha Bhi , Kab Mera ThaSajid Jiski Chahaat Tere Dil Mai ThiIske Dil Ko Aur Kisi Ne Ghera ThaPoet : Sajid Hidayat(Tel: +92 333 4123685)