Pehle teri thi justuju mujh ko, Ab mein apni talaash karta hoon..

Yoon bhi hua hai mere ghar mein, Mein naheen hota, woh hota hai..

Gunaho me teri raza chahta hun , Mera hosla dekh kya chahta hun..

Kar raha tha ghum-e-jahan ka hisaab Aaj tum yaad be-hisaab aye. .

Tumhare sath hi dikhi thi mujhe, Phir kabhi zindagi nahin dikhi..

Kis Tarha Dekh Rahay Ho Mujhe, Tumhara Apna Hoon, Tassalli Rakho.

Gahe gahe piar ki bhi ik nazar, Hum se rothe hi raho aisa bhi kia.

Marney waley to kher bebass they, Jeeney waley kamaal karte hain..

Khod tha khawab e adam bhi danish, Dil ki dastak ne jagaea hum ko.

Zer-e-lab in ki ye hansi anjum.. Jesay khilta hua gulab ka phool.!

Ghar ka darwaza khula rakha hai Wakt mil jaye to zehmat karna. . !

Hum ne to khud se intiqaam liya, Tum ne kya soch kar mohabbat ki ?

Jab se us ne hattaa liya baazu, Sar ke neechey sawaal rakhe hain..

Fasl-e-gul hai sharab pi lejiye.! Zid na kijiye jennab pi lejiye..

Tabeyat ko tabeyat sey badal ley.. Tabeyat ashna honey sey pehlay!