Kuch to lateef hotin gharian musebaton ki, Tum aik din to milte do din ki zindagi me.

Shoq kehta hai k har jisam ko sajda kijiye, Ankh kehti hai to ne abhi daikha kia hai.

Zindagi ka koi ehsan nahin hai muj par, Main ne dunia me har ik sans ki qemat di hai.

Jis door main zindoon ko ho marne ke tamna, Uss door me jeene ka maza aur hi kuch ha.

Zindagi Husn Hai, Ranai Hai, Dildari HaiYeh Haqeqat Meray Khuwabon Ki Tarah Pyari Hai

Arsa e umer me kia kia na rutain ain magar, Koi thehri na yahan dard k mosam ki tarah.

Chala jata hon hansata khelta moj e hawadas se, Agar asanian hon zindagi dushwar ho jae.

Yaad Rakhna Mout Ki Tijarat Ko Zindagi Nahi KahteInsaan Ke Dushaman Ko Insaan Nahi Kahte

Zindagi shaam se pehle hi agar thak jaye, Khawb ankhon mein jo paltey hain kidar jayen..

Badla waafa ka dyen gaye bari sadgi sy hum, Tum hum sy ruthe jao gaye aur zindagi sy hum !

Sirf zinda rehne ko zindagi nahin kehte, Kuch gham-e-mohabbat ho, kuch gham jahaan ka ho..

Umer bhar umer e garizan se na meri ban saki, Jo kare karti rahe me pochata kuch bhi nahin.

Hasol e zar ka jo kal tak mukhalif tha zamane me, Use bhi aj dolat ki farawani ka dawa hai.

Kia bataon kis tarah abb kat rahi hai zindagi, Meri har har sans ik talwar hai tere beghair.

Zindagi thori thi hum ko aur bhi so kaam the, Warna ik tuj ko hi pana to koi mushkil na tha.