Sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main Lakin ye sochta hun k ab tera kya hun main Bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud Bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main Main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf Apne badan ki qabr mein kabse gara hun main Kis-kis ka nam laun zaban par k tere sath Har roz ek shakhs naya dekhta hun main Na jane kis ada se liya tune mera nam Duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main Le mere tajurbon se sabak ae mere raqib Do char sal umr mein tujhse bara hun main Jaga hua zamir wo aina hai “Qateel” Sone se pahale roz jise dekhta hun main…

Your Comment Comment Head Icon

Login