inhi khush gumaniyon mein kahin jaan se bhi na jao wo jo chaaragar nehi hei usse zakhm kyun dikhao? ye udaasiyon ke mausam kahin rayegaan na jayen kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagao wo kahaniyaan adhuuri jo na ho sakengi puuri unhe main bhi kyun sunaun unhe tum bhi kyun sunao? mere humsafar puurane mere ab bhi muntazir hein tumhe saath chhorna hei to abhi se chor jao ye judaiyon ke raste bari duur tak gaye hein jo gaya wo phir na laota meri baat maan jao kisi bewafa ki khatir ye junon ‘Faraz’ kab tak? jo tumhe bhula chuka hei usse tum bhi bhuul jao
Like (6) Dislike (1)
Your Comment