zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka rasta badal k chalne ki adat use bhi thi us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya warna har ek sans qayamat use bhi thi

Your Comment Comment Head Icon

Login