Waqt ki karri dhoop mein dhaal ban jati hai, Mere aansu jo bahe’n to rumaal ban jati hai, Jis roz maan ki duayain na samait kar mein nikloon, Us roz yeh zindagi bhi wabaal ban jati hai, Jo log azmat maan ki pehchaan ke chalte hain, Taareekh mein bhi un ki misaal ban jati hai, Maan ho agar saleeqa’mand aur ba’shaoor, Waqas, Us ke saaye mein shakhsiyat bakamaal ban jati hai..

Your Comment Comment Head Icon

Login