Janey kab tak teri tasweer nigah’on mein rahi… Ho gai raat teray aks ko taktey taktey!

Jo roshani mein kharey hein wo jantey hi nahi.. Hawa chaley to charag’on ki zindagi kia hai..

Ghar se bahir to nikal aya safar k shauq mein Jab gali mein pao’n rakha, samnay rasta na tha.

zoq-e-deed mein hoti hai taklef sara.sar… achy rehty hain woh log jo muhabbat nai krty!!!!!!!

Thehri hai khamoshi hi agar tarz-e-guftugu! Khamosh reh key tujh ko pukara kar’en gey hum..!!

Wahan rahy tou kisi ne bhi hans k baat na ki. . Chalay watan se tou sab yaar hath milanay lagy. . !

Hai ishq ki manzil mein haal ke jese, Lutt jaye kahin raah mein samaan kisi ka.. Bahadur Shah Zafa

Saara hi sheher us ke janaazey mein tha shareek, Tanhaayiyon ke khauf se jo shakss mar geyaa…

Subhah ko dekha to do ghao merey chehrey pey they, Rat kuch roney ki khwahish thi magar roya nahi..

Na kar dil azaari, na ruswa kar mujhe, de maafi, Jurm bata, saza suna or khatm kar shikway saaray..

Ghar ke saarey phool hungaamon ki ronaq ho gaye, Khaali guldaanon se batain karke so jayen ge hum..

Mitt chaley meri umeedon ki tarah harf magar, Aaj tak tere khato’n se teri khushbuu na gayi..

Zabaa’n per mohar lagana to koi baat nahi.! Badal sako to badal do meray khayal’on ko..

Daffan hoon ehsaas ki sadiyon purani qabar mein, Zindagi ik zakham hai aur zakham bhi taaza nahin..

Shikayat to nahi karta hun lekin gharz itni hai.. Wo akhir kiya karey jo har tarha majboor ho jaye!!