Hazoor ap shab arai’yan kar’ein lekin.! Faqat namod-e-sehar tak charag jaltey hein…

Zahir ye kar rahi hein shab-e-gham ki nuzhata’in.. Koi chupa hua meri tanhai’yon mein hai!

Chahay jao usey, nuqsaan dil-o-jaan hi sahi. . ! ishq phir ishq hai aashifta-e-dil-o-jaan hi sahi. . !

Chand lamhay mae-kaday mein jo hum log aa gaye. . ! Kuch baat cheet kar gaye kuch hans hansa gaye. . !

Jo apni zaat sey bahir na nikal saktey! Unh’ein thokar’ein do char aye zamana laga…

Jisey hota nahi ehsas aur’on ki musibat ka.. Wo ik pathar to ho sakta hai lekin dil nahi hota.!!

Jita jita key muhabbat, dikha dikha key khalos.. Barey fareb sey loota hai dost’on ney mujhey.!!

Jab itni be-wafai per dil is ko yaad kerta hai… Elahi wo sitamgar ba-wafa hota to kia hota..??!

Jaha’n rahey ga waha’n hi roshni lotaye ga..! Kisi charag ka apna maka’n nahi hota..

Wakt wo mujh per kathan guzry hain sari umer mein Ik teray aaney se pehlay, ik teray janay k baad. . !

Hum rooh-e-safar hain, humain naamo’n se na pehchaan Kal aur kisi naam se aa jaingy hum log. . !

Saray parind so gaye, khuwab nagar mein kho gaye, , Ows mein bheegta raha, raat ko baagh mein koi. . !

Dhondti rahi hein, takhayul ki bahei’n tujh ko.. Sard raat’on ki sulghti hui tanhai mein!!

Raha jo umer bhar teri jawani ki dua kerta.! Isi sey ker liya parda sanam tu ney jawa’n ho ker..

Zindagi mein to wo mehfil sey utha letay thay.!! Dekho’n ab mar gaye per kon uthata hai mujhey..