Khamosh Reh, Tanha Baith, Yaad Karta Ja Usi Ko, Tu Ny Ishq Kiya Hai, Gunaah Chota Nai Hai Tera…!!

Shumar-e-zakhm abhi sey ‘Faraz’ kia kerna.! Abhi to meri jaa’n! ibteda ki bahar hai..

Saba to kia key mujhay dhoop tak to jaga na saki!! Kahan ki neend utar aai hai in aankh’on mein..

Sada’ein aati hein ujray huay jazeer’on sey … Key aaj raat na rahey koi kinarey per!

Chain leny nahi daiti hai us ki yaad ‘Sana’. . ! Naam bhi yaad jisay apna dilaya jaaye. . !

Zabt ki manzil’ein keh keh key ye teh kein mein ney.. In key pehlu mein bhi dil hai folaad nahi.!

Kisi ko sheher mein ab hum se laag hai na lagao Koi to tum se bhi nazar’ain churanay wala ho. . !

Jo tumhari tarha tum se koi jhootay waday karta. . ! Tum hi munsifi se kah do tumhain aitebar hota. . ?

Kia mila zalium tujhy? Kyun dil k tukrey kar diye? Rung-e-mehfil dekh kar mehfil k tukrey kar diye. . !

Go hath mein janbish nahi aankho’n mein tou dum hai Rehnay do abhi saghir-o-mena meray aagay. . !

Jo galey milo gey tapak sey koi hath bhi na milaye ga.. Naye mizaj ka shehar zara fasley sey mila karo!

Tum apney khayal’on ko mujhey sonp ker dekho.. Har shaks amanat mein khayanat nahi’n karta!

Jab se mere yaar ne badli hai hakoomat, Mere dil ki mayishat* ka bura haal hua hai.. (mayishat:economy)

Ujrre huye ghar ka main wo darwaaza hoon Mohsin, Deemak ki tarah kha gayi jise teri dastak ki tamanna..

Zamana kia kahey ga, aap key tarz-e-tagaful per.! Tumh’ein meri tabahi ki qasam, rok hansi apni..