Kaun ujra hoga bhari duniya mein hamari tarhan, Tu bhi na mila hum ko aur khud ko bhi ham ghanwa bethe..:(

Yeh jo sab khod* rahe hain zameen mere liye, Mein jee uthoon to kahin bhi jagha nahin dein ge.. (khod;dig)

Yaad parta hai k kush khuwab thy dhundlay dhundlay Wo amanat mein kahi’n bhool gaya hun rakh k . . !

Riwaaj to yahi hai duniya ka mil jana bichhar jana, Tum se ye kaisa rishta hai na milte ho na bicharte ho.

Ghata hai dil ka sakoon umer ki tarha saqib! Barhay hain saye gham’on k zaroorat’on ki tarha. .

Wo pathar tha mein shesha tha natija kiu nahi nikla, Usey thokar lagana thi, mujhy bhi toot jana tha…

Gae ruto’n k nishaan, kuch kahayal hain kuch khuwab So ye nishan bhi thehernay k ab nazar mein kahan?

Toot key sahil pey bikhar jatey hein.. Aisey rishtey jinh’ein zanjeer nahi’n milti hai….

Tooti phooti ik kashti aur khushhk samandar dekha tha, Kal shab mene jhaank ke shayed apne andar dekha tha.

Dekhay nahi jatey mujh sey ye mangney waley hath!! Ab key baras to ker dein gey ankh’ein bhi kheyrat..

Khushi’yan dey ker gham apna loun mumkin hai lekin.. In dam’on to dil ka soda mehnga lagta hai!!

Suni sunai bat nahi ye apney uper beeti hai! Phool nikaltey hein sholo’n sey chahat aag lga deti hai..

Chandni raat ki phaili hui tanhai mein. . Dil mein yaado’n ka dhua’n ho tou ghazal hoti hai. . !

Kaj kalaah-e-ishq tha wo shaan se zinda raha. . Pathar’on mein tann k sheesh’on ka faida raha. .

Akaila raat bhar tarpa mareez e shaam e gham saqi Na tum aaye na neend aai na chain aaya na moat aai…