Najanay dushmano’on ki konsi baat yaad aa gai. . Labo’n tak aatay aatay bad-dua hi aur ho gai. .

Waa-e-nakami, mata-e-karwaa’n jata raha. . Karwaa’n k dil se ehsas-e-ziya’n jata raha. . !

Firaq-e-Yaar Ne Bhi Be’Chain Mujhko Raat Bhar Rakha, Kabhi Takia Idhar Rakha, Kabhi Takia Udhar Rakha..

Kai ajnabi teri raah me mere pass se yoon guzar gae, Jinhain daikh kar ye tarap hoi tera naam le k pukar lon.

Mat Chor Mera Sath Tu Zindagi Mein Is Tra !!..dost..!! Shayad Ham Zinda Hain Tumhary Hi Sath Rehny Say…

Arey hum tou aese badnaseeb hain is dunya mein Agar kholein dukaan kafan ki tou log marna hi chor dein…

Sochtey kiun nahi tum daikh key weera’n ankh’ein..? Hum ney bhi dil mein koi shehar basaya ho ga..

Subha sey chaltey chaltey shaam hui awara dil.! Ab mein kis manzil pey pohncha, ab ghar kitni dour hai…

Umer bhar key jalney ka itna to sila paen gey hum..! Bujhty bujhty chand shami’en to jala jain gey hum..

Jaha’n wo aish ki baat’ein guzar gaye darwesh.. Waha’n ye ranj key din bhi guzar jain gey.!!

Ghum e arzo teri rah me, shab e arzo teri chah me, Jo ujar gya wo basa nahi, jo bichar gya wo mila nahi…

Rehta hun jis zamee’n per wohi orh lun ga mein.!! Anjam pey pohanch’on ga, mein anjam sey pehlay..

‘Zaheer’ ik rishta-e-wehshat liye phirta hai majno ko! Wagarna koi apney ap sehra mein nahi rehta..

Chaak-e-parda se ye ghamzay hain to ae parda nasheen. . ! Ik mein kia sabhi chaak-e-gireba’n hon gay. . !

Chairtay ho kyun mujhy? Kyun poochtay ho haal-e-dil. . ? Kia mery rang-e-tabassum se aya’n kuch bhi nahi?