jis simt bhi dekhun nazar aata hai ke tum hoae janejahan ye koi tum sa hai ke tum hoye khwab hai khushbu hai ke jhonka hai ke pal haiye dhundh hai badal hai ke saya hai ke tum hois did ke saat mein kai rang hain larazanmain hun ke koi aur hai duniya hai ke tum hodekho ye kisi aur ke aankhen hain ke meridekhun ye kisi aur ka chehara hai ke tum hoye umregurezan kaheen thahare to ye janunhar sans mein mujh ko ye lagata hai ke tum hohar bazm mein mauzuesukhan dil zadgan kaab kon hai shirin hai ke laila hai ke tum hoik dard ka phaila hua sahara hai ke main hunik mauj mein aaya hua dariya hai ke tum howo waqt na aaye ke dilezar bhi socheis shahar mein tanha koi hum sa hai ke tum hoaabad hum aashufta saron se nahi maqtalye rasm abhi shahar mein zinda hai ke tum hoae jane‘faraz’ itni bhi taufiq kise thihum ko gamehasti bhi gavara hai ke tum hoPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz

Your Comment Comment Head Icon

Login