wohi phir mujhe yaad aane lage hainjinhen bhulane mein zamane lage hainwo hain pas aur yaad aane lage hainmuhabbat ke hosh ab thikane lage hainsuna hai hamen wo bhulane lage hainto kya hum unhen yaad aane lage hainhataye the jo raste se doston kewo pathar mere ghar mein aane lage hainye kahana tha un se muhabbat hai mujhkoye kahane mein mujh ko zamane lage hainqayamat yaqinan qarib aa rahi hai‘khumar’ ab to masjid mein jane lage hainPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Khumar Barabankvi

Your Comment Comment Head Icon

Login