Yeh sach hai tujhe jhoot ki aadat bhi bohat thi, Iss dil main magar teri mohabbat bhi bohat thi, Manzil se zara pehle hi woh chorr geya tha, Kam hausla rahi tha, musafat bhi bohat thi, Kuch umar bhi aesi thi ke hum jhail na paye, Kuch dard anokha tha to shiddat bhi bohat thi, Do chaar gharri dil main woh mehmaan raha tha, Lamhon ki sahi, mujh ko yeh mohlat bhi bohat thi, Us ko bhi bicharrne ka bohat ranjj hua hai, Mere liye us ki yeh wazaahat bhi bohat thi..

Mohhabat dukh to deti hay Magar eik bat kehni hay Jisko chaha jata hay Zarori ye nahi hota k Usko pa liya jaey Kabhi us k bicharne se Mohabbat kam nahi hoti Zara si dair pahle to Yehi ehsaas hota hay K Koi ji nahi sakta Maggar phir rafta rafta hi Haqiqat khul ti jati hay k Mohabbat wo nahi hoti K jisko pa liya jaey Mohabbat wo b hoti hay Jo hamesha sath rahti hay Kabhi dukh k andheron mE Kabhi khushion k daman mE Kabhi wo aas dati hay Kabhi umeed dati hay..!!

Karoon na yaad magar kistrah bhulaoon ussay, Ghazal bahana karoon aur gungunaoon ussay, Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind, Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay, Yeah loog tazkaray kartay hain apnay logon k, Main kaisay baat karon, Ab kahan say laoon ussay, Magar wo zood-faramoosh zood-runj bhi hay, K rooth jayay, Agur yaad kuch dilaoon ussay, Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz, Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay…!

tum mujhko guriya kahte ho theek hi kahte ho , khelne wale sab haathon ko main guriya hi lagti hun, jo pahnado mujhpe sajega.. mera koi rang nahi.. jis guddey ke haath me do.. meri kisi se jung nahin soti jaagti aankhen meri, jab chaho beenayii le lo, kook bharo or baatein sun lo.. ya meri goyaayiee le lo maang bharo seene se lagao pyar karo aankhon me basao or jab dil bhar jaaye toh dilse utha ker taak pe rakh do TUM MUJHKO GUrIYA KAHTE HO THeeK HI KAHTE Ho

Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna Kabhi milay to yehi baat Usay kehna Wo sath thee to zamana tha hamsafar mera Magar ab koi nahi meray sath usay kehna Usay kehna k bin us kay din nahi kat-ta Sisik sisik k kati hai raat usay kehna Usay pukaron k khud hi pohanch jaon us k pass Nahi rahay wo halaat usay kehna Agar wo phir bhi na lotay to a meray dosto mere dard-e-dil k Halaat usay kehna Har jeet us k naam kar raha hon main Me Manta hoon apni Haar usay kehna..

Kiya Khazaane Meri Jaan, Hijar Ki Shab Yaad Aaye Tera Chehra, Teri Aankhen, Tere Lab Yaad Aaye, Ek Tu Tha Jise Gurbat Mein Pukaara Dil Ne Warna Bechre Howe Ahbaab To Sab Yaad Aaye, Hum Ne Maazi Ki Sakhawat Pe Jo Pal Bhar Socha Dukh Bhi Kiya Kiya Humen Yaaron K Sabab Yaad Aaye, Phool Khilne Ka Jo Mosam Mere Dil Mein Utraa Tere Bkhashe Howe Kuch Zakham Ajab Yaad Aaye, Bhool Jaane Mein Woh Zalim Hai Balaa Ka Maher Yaad Aane Pe Bhi Aay To Ghazab Yaad Aaye….!

Jo ho ek baar woh har baar ho aisa nahi hota Hamesha ek hi se pyaar ho aisa nahi hota Har ek kashti ka apna tajruba hota hai duniya meN Safar me roz hi manjdhaar ho aisa nahi hota Kahaani meN to kirdaaroN ko jo chahe banadijiye HaQeeQat meN kahaani kaar ho aisa nahi hota KahiN to koi hoga jis ko apni bhi zarurat ho Har ek baazi meN dil ki haar ho aisa nahi hota Sikhadeti haiN chalna thokareN bhi raahgiroN ko Koi rasta sada dushwaar ho aisa nahi hota…!!!!

Ankh ban jati hai Sawan ki Ghata SHAM K BA’D Mujse ho jata hai har koi khafa SHAM K BA’D Chand jab ro k sitaron se galy milta hai, Aik ajab Rang ki hoti hai Fiza SHAM K BA’D Hum ne tanhai se pocha k milo ge kab tak? Us ne be-chaini se foran he kaha SHAM K BA’D Loat aati hai meri shab ki Ibadat khali Janey kis Arsh pe rahta hai khuda SHAM K BA’D Mar deta hai bichar janey ka dohra ehsas, Kash na ho koi kisi se juda SHAM K BA’D

Sach kahon ga to saza dain gy tery shehr k log.. Mujko sooli pr charha dain gy tery shehr k log.. Baton Baton mein tera zikr krain gy mujh sy.. Is trha zakhmon ko hawa dain gy tery shehr k log.. Aik diwar gira doon bhi to aye jan e ghazal.. Nai diwar utha dain gy tery shehr k log.. Main ny sadion mein hunsny ka saliqa sikha.. Kiya khabar thi rula dain gy tery shehr k log.. Main to shama hoon meri umar hi kiya hai.. Subha hoty hi bujha dain gy tery shehr k log..

Koi yad be usko yad nai koi bat be usko yad nahi Ek shaks ne usko chaha tha wo zat be usko yad nahi Jab shab ki bejli ke chamki the Jab badal toot kar barsa thaa Hum dono jis main behge the wo barsat be usko yad nahi Wo kehta tha main sunta tha wo kehta tha main sunta tha un lahko bato main koi bat be usko yad nahi wo sahil dareya phol hawa wo shab bhar chand ko dehkna un lahko rato main koi Rat be usko yad nahi koi yad be usko yad nahi koi bat be usko yad nahi

log TuuT jaate hai.n ek ghar banaane me.n tum taras nahii.n khaate bastiyaa.N jalaane me.n aur jaam TuuTe.nge is sharaab-Khaane me.n mausamo.n ke aane me.n mausamo.n ke jaane me.n har dha.Dakate patthar ko log dil samajhate hai.n umr biit jaatii hai dil ko dil banaane me.n faaKhtaa kii majabuurii ye bhii kah nahii.n sakatii kaun saa.Np rakhataa hai usake aashiyaane me.n duusarii ko_ii la.Dakii zindagii me.n aayegii kitanii der lagatii hai usako bhuul jaane me.n

Ab kya sochen kya halaat the kis kaaran yeh zehr piya hai, Ham ne us ke sheher ko choda aur ankhon ko moond liya hai, Apna yeh sheva to nahin tha apne gham auron ko saumpein, Khud to jaagte ya sote hain us ko kyun be-khawb kiya hai, Khilqat ki awaazain bhi thi band us ke darvaaze bhi they, Taaza rifaaqat ke mausam tak main bhi jiya hoon woh bhi jiya hai, Ek Faraz tumhin tanhaa ho jab tak dukh ke rasiyaa ho, Warna aksar dil walon ne dard ka raasta chorr diya hai..

Tu jo aa jaaye to is ghar ko sanwarta dekhu Ek muddat se jo veeraan hai wo basta dekhu..!!! Khawab bankar tu bahta rahe jannat ke jharne Aur bas mai isi mausam ko nikharta dekhu..!!! Jis’se milna nahi us’se mohabbat kaisi Sochata jaau magar dil mein utarta dekhu..!!!! Dil gayaa tha to ye aankhen bhi koi le jaata Mai faqat ek hi tasveer kahan tak dekhu..!!!! Chand lamhe jo tere Ishq ke mil jaate hain In hi lamhon ko mai sadiyon mein badalta dekhu..!!!!

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do

Kis dais may ye qafla waqt ruka hy aarz ke jaly may zulfaon ki ghata hy   Khuch meri nighaon ke talay dhond bohat hy kuch jashan chargha sy andhera bhi barda hy   May ny teri baton ko kabhi jhoot kaha tha es juram pay har jhoot ko such maan liya tha   Ay shokh ghazalon, yahan do phal to rakh do es qabar may khawabeda mohabat ka khuda hy   kuch dsair may salon ki ye ahat na miley gi dil raat ke sannaty may doob raha hy