Chalo Phr Dhoond Laein Hum! Usi Masoom Bachpan Ko! Unhi Masoom Khushiyon Ko! Unhi Rangeen Lamhon Ko! Jaha Ghum Ka Pata Na Tha! Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi! Jahan Bus Muskurahat Thi! Baharein Hi Baharein Thi! Chalo Phr Dhond Laein Hum! Usi Masoom Bachpan Ko! K Jab Sawan Barasta Tha! To Us Kaghaz Ki Kashti Ko! Bana’na Aur Duba Dena! Boht Acha Sa Lgta Tha! Aur Is Duniya Ka Hr Chehra! Boht Sacha Sa Lagta Tha! Chalo Phir Dhoond Layen Hum Usi Masoom Bachpan Ko….

Aik wo cheez jise Dil ki Khushi Kehte hain,, kahin Bazaar main mill jaye to lete aana Main gumo ke andhero me doob sa gaya hu,, miley kahi masarat e qalb o jigar to lete aana be’sakhta ro pade hum is bhari bheed main,, be-sahara hu koei sahara mil jaye to lete aana,, baad e naseer e sehr shayad ab araam miley,, kahi aisa mil jaye asar to lete aana,, sab ke dil se uth chuka hoon,ab kuch kar guzar jao ayan,, sab ki rukbat pa sakhon kahi se aisa hunar lete aana..

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do..!

hansata tha mujh ko to phhir rula bhi deta tha kar k wo mujh se aksar wady bhula bhi deta tha, be-wafa tha bohat magar dil ko achha lagta tha kabhi kabahar batain muhabbat ki suna bhi deta tha, … thaam leta tha hath mera kabhi yoon he khud kabhi hath apna mere hath se chhura bhi leta tha, kabhi be-waqat chala aata tha milny ko kabhi qeemti pal muhabbat k ganwa deta tha, ajab dhoop chhaon sa mizaj tha us ka motbar bhi rakhta tha” nazron se gira bhi deta tha

Mein ney nazar’on sey is ko chum lia Jo tum ney mujhey dia tha kabhi Ik mehakta hua sa surkh gulab Zindagi ki haseen raah’on mein In mehakti hui fiza’on mein Is ki khushbo mein din guzar’on gi Mujh ko jenay ka hosla dey ga Ik mehakta hua surkh gulab Mein isi soch key samandar mein Ghota zan thi key yak-ba-yak mujh ko Dour rastey mein tum nazar aye Tum kisi ajnabi si larki ko Dey rahey thay khod apney hath’on sey Ik mehakta hua surkh gulab!

Tujhy bhula k jiyu’n, aisi bad-dua bhi na de Khuda mujhy ye tahammul, ye hosla bhi na de Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol Sunay baghair mujhy, apna faisla bhi na de Ye umer meine tery naam be-talab likh di Bhalay se daman-e-dil mein kahin jaga bhi na de Ye din bhi aaingy, aisa kabhi socha na tha Wo mujh ko dekh bhi lay aur muskura bhi na de Ye ranjish’ain to muhabbat k phool hain ‘Sajid’ Ta’aluqaat ko is baat per ganwa bhi na de. . !

Chalo Ek Aur Duniya Me… Tumaray Saath Chaltay Hain…. Jahan Halaat kuch Bi Hoon, …Magar Hum Saath Rehtay Hon…. Jahan Mosam koi Bi Ho, Judaai ka Na Ho Lekin…. Jahan CHAAND Bi tum Ho, Jahan Suraj,Hawa,Roshni, Khushbooun Ka Rung Tum say Ho, Jahan Par DIL Dharrknay ka Har Ek Ehsaas Tum Say Ho….. Jahaan Par Mery Jeenay ki Saari…. “AAS” Tum Say Ho…. CHALO Ek Aur Duniya Me…. Tumharay Saath Chaltay Hain….!!

Yaa rab gham-e-hijraaN meN itnaa to kiyaa hotaa jo haath jigar par hai voh dast-e-duaa hotaa ek ishq kaa gham aafat aur is pe ye dil aafat …yaa gham na diyaa hotaa, yaa dil na diyaa hotaa ghairoN se kahaa tumne, ghairoN se sunaa tumne kuchh hamse kahaa hotaa, kuchh hamse sunaa hotaa ummiid to bandh jaatii, taskiin to ho jaatii vaadaa na vafaa karte, vaadaa to kiyaa hotaa nakaam-e-tamanna dil, is soch meN rahtaa hai yuuN hotaa to kyaa hota, yuuN hotaa to kyaa hotaa

Ya Rab, gham-e-hijraan mein itna to kiya hota, Jo hath jigar per hai, woh dast-e-dua hota, Ik ishq ka gham aafat aur is pe yeh dil aafat, Yeh gham na diya hota ya dil na diya hota, Nakaam-e-tamanna dil, is soch mein rehta hai, Yooon hota to kya hota, yoon hota to kya hota, Umeed to bandh jati, taskeen to ho jati, Vaada na wafaa kartey, vaada to kiya hota, Ghairon se kaha tum ne, ghairon se suna tum ne, Kuch hum se kaha hota, kuch hum se suna hota.. Chiragh Hassan Hasrat

Tabhi Toh Main Muhabbat Ka Hawalati Nahi Hota Yahan Apnay Siwa Koi Mulaqati Nahi Hota Aur Ab es Bat Par Bhi Mujhse Mere Yaar ulajhtay Hain K Main Har Baat Sun Leta Hoon Jazbati Nahi Hota Girftar-e-Wafa, Ronay Ka Koi Aik Mousam Rakh Jo Nala Roz Beeh nikalay Woh Barsati Nahi Hota Tujhay Dil Mein Jaga Di Hai Nazar Se Door Kya Kartay Jo markaz Mein Theher Jaye Woh Mazafati Nahi Hota Bicharnay Ka Irada Ho Toh Mujhse Mashwara Karna Muhabbat Mein Koi Bhi Faisla Zaati Nahi Hota

Kiss Tarha Yaad Karoon Kaysay Bhulaaon Tujhko. Tu Koi Rasm Naheen Hay Kay Nibhaaon Tujhko. Roz Aankhon Say Bikharta Hay Naya Khuwab Koi. … DiL Ye Kehta Hay Kay Aankhon Main Sajaaon Tujhko. Khoob Hotay Hain Ye Chahat Kay Methay Rishtay. Bhool Kar Bhi Kabhi Dushman Naa Banaaon Tujhko. Teray Jaanay Pay Machalta Hay Bohat DiL Laikin. Zabt Itnaa Hay Kay Phir Bhee Na Bhulaaon Tujhko. ZinDagi Konsay Taaron Ka FalaQ Hogi Faraaz. Kiss Tarha Apnaa Sitaara Main Banaaon Tujhko..

Zakham diye hain tu phir unka madawa bhi karo, Mujhko chaha hai tu phir iska dawa bhi karo, Kaisi uljhan main girftar rahay ho din bhar, Ho gai raat charagoon ko jalaya bhi karo, Ajj kuch deer roko pal bhar ko sakoon laynay do, Itni jaldi main ho tu phir faslay mataya bhi karo, Woh jo aik dewar meray dil main uthai tu nay, Khool doo khirky aur aik bar nazar aya bhi karo, Pher wohi khawab wohi sochain wohi tanhai, Sahmi ankhoon ko sar-e-sham sulaya bhi karo.. Shabeeb Hashmi

Pyar ka geet sunaye to kuch baat bane, Aane wala aaye to kuch baat bane, Aksar rote rote meri raat katey, Woh aakar behlaye to kuch baat bane, Dil kya toota pyar ki kaliyan rooth gayin, Koi kali muskaaye to kuch baat bane, Kab tak us ko dhoondon kali raton mein, Jugnu hath mein aaye to kuch baat bane, Dil mein jo behta hai daryaa yadon ka, Aankhon se beh jaye to kuch baat bane, Us ki chahat us ke us ke pyar mein aaj Hira, Deewani kehlaaye to kuch baat bane… Hira Adil

Jab shaam aangan men utar aye to mujhe yaad karna, Jab chandni har soo bikhar jaye to mujhe yaad karna, Shabb gehri ho aankhon men bhi khwaab hon, Aur kisi ki yaad tumhe sataye to mujhe yaad karna, …Kabhi aisa ho aansu chunne wala koi na ho, Aur rone ko bhi jee chahe to mujhe yaad karna, Jab koi na aye tumhari sachai sunne ke liye, Dard hab hadd se barh jaaye to mujhe yaad karna, Agar kabhi akele ho tum apne aap men, Aur ye akelapan tum ko rulaye to mujhe yaad karna.

Woh hain pass aur yaad aney lage hain, Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain, Suna hai humain woh bhulaney lage hain, To kya hum unhe yaad aney lage hain, Hattaye they jo raah se doston ki, Woh pathar mere ghar mein main aney lage hain, Woh phir mujhe yaad aney lage hain, Jinhe bhoolne mein zamaney lage hain, Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko, Yeh kehne mein mujh ko zamaney lage hain, Qayamaat yaqeenan ab qareeb agayi hai, Khumaar ab to masjid main jaaney lage hain..