Zameen sy anch zameen tord kar nikalti hy ajab tashnagi en badlon sy barasti hy Hamary ehad mai nayab hy bachaey raho tumhari aknh mai ek cheez jo chamakti hy Siron pay dhoop ki ghardi uthay phirty hay dilon mai jin ki bardi sard raat hoti hy Khardy khardy mai safar kar raha ho barso sy zameen aon ke nechy kaha teharti hy Pighal rahi hay chattaney naheef bahon mai badan mai piyar ke kesi ajeeb garmi hy Hawa ke ankh nai,hat or paon nahi esi lieye wo sabhi raston pay chalti hy

Zakham yon muskura ke khilteyn hay jesy wo dil ko choo ke guzraeyn hay   dard ka chand ansowo ke najoom dil ke angan may aj utray hay   Rakh ke dhery jesy sard maka-n chand en badliyon may rehty hay   Aeyno ka koi qasoor nay en may apney hi aks hotay hy   Ghor sy dekh khak tanha ny sath pholon ke rang urtain hy   Ab shab-e hijar bhi ny ati en dino hum bohat akeely hy   En sy ehwal-e shab suno sahab badar g rat rat ghomey hay      

Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata, Wo yar hamara kaisa hai? Jo bhool gaya hum ko kab se, Wo jaan se pyara kaisa hai ? Kia us ko jeewan lamho mein, Koi lamha mera baqi hai ? Kia uski jaagti aankhon main, Meri yaad se phaili udasi hai ? Kia wo bhi meri tarah yun hi, Shab bhar jaga kerta hai ? Kia wo bhi saya-e-rehmat main, Hamain RAB se manga karta hai ? Agar aisa nahi to tu hi bata, Hum yaad use Kion kertay hain ? Wo humse bicher ker khush hai agar, To hum pal pal kion marte hain ?

koofa-e-shab nay jo taaber ki had jaari ki, mein nay jalty hoy khuabo’n ki uzzadaari ki, wqt nay uskey muqaddar mein likhi taareki, jinsy charhty hoy soraj ki tarafdaari ki, dil dharkny pay mus’er tha soo dharkta hi gaya, lamha-e-deed ki aankho’n nay nighey daari ki, her taaq-e-chasm pay khuaboo’n key diy bujh say gay, kuch aesi hawa chali sheher mein beydaari ki, sukh ka kirdar nibhany k liy umer tmam, mein nay rooti hoi aankho’n say adakaari ki,

Yeh zara zara si baat per, Tarha tarha ka azaab kiyon? Jo kisi say bhi khafa na ho, Mujhey us Wafa ki talash hai. Mujhey laghzishon pay her ghari, …Koi tokta hay baar baar. Jisay ker k dil ko dukh na ho, Mujhey us gunah ki talash hai, Bina Humsafar k kab talak, Koi musafaton main laga rahay. Jahan koi kisi say juda na ho, Mujhey us raah ki talash hay. Mujhey daikh ker jo aik nazar, Meray saray dard samajh sakay. Jo is qadar ho Chara-e-gar, Mujhey us nigaah ki talaash hay

karta use beqarar kuch der hota agar ikhtiyar kuch der kya royein fareb-e-aasmaan ko apna nahin aitbaar kuch der aankhoN mein kati pahaar si raat so ja dil-e-beqaraar kuch der ai shehar-e-tarab ko jaane waloN karna mira intizaar kuch der bekaifi-e-roz-o-shab musalsal sarmasti-e-intizaar kuch der takleef-e-gham-e-firaaq dayem taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der ye guncha-o-gul hain sab musafir hai kaafila-e-bahaar kuch der dunyaa to sada rahegi Nasir ham log hain yaadgaar kuch de

Tera aanchal hata ker daikhna acha lagta hai Teri gali’yon mein jana’n phirna acha lagta hai Mein to kitni dour sey aa jata hun teray sheher Tera ghar sey hi na nikalna acha lagta hai Ye to raaz ki bat hai Is ko samjhna acha lgta hai Haseen wadi’yon mein rehna teray sath chalna Aisey dilkash khawab daikhna acha lagta hai Tera bat bat per ruth jana Aur mera wo manana acha lagta hai Mujhay yahan kahin jagha dey In jheel si ankh’on mein rehna acha lagta hai

Dil ankh ke kehne par safarat nai karta kuch hai ki abhi uske himayat nai karta kiss bat pe rutha hai pata ho to maanaooo woh ruth to jata hai shikayat nai karta har bat me hote hai usske kai soo matlab woh bat to karta hai wajahat nai karta us shakhas ke wado me wafa aaye kidhar se vaade bhi jo wafaye mohabbaat nai karta main usse ruth ke jata nai ki wo aksar ruhttho to manane ke zehmat nai karta main uske leye sare zamane se laara hu woh shakhas jo khud se b bagawat nai karta

Biphri* mojain, door sahil, ik sahara chahiye, Aandhiyon main ghir geya hoon, ab kinara chahiye, Doobney waley ko ik harf-e-tassali tha bohat, Doobney waley ko tinkey ka sahara chhaiye, Larr na paaon ga ke dunya bhar ke gham hain samney, Sath mujh tanhaa ko ab har dam tumhara chahiye, Kis ko ho gi jaan ki parwaah phir aye jaan-e-jaan, Ik zara bass teri nazron ka ishara chahiye, Ishq hai deewangi ka naam dooja dosto, Jis ko chahain har gharri uss ka nazara chahiye.. (biphri;wild)

??? ?? ??? ?? ???? ?????? ????? ?? ???? ??? ???? ???? ????? ?????? ????? ?? ???? ??? ?? ?? ???? ?? ??? ?? ??? ?? ?? ?? ???? ??? ???? ????? ????? ?? ? ???? ????? ?? ???? ??? ?? ??? ??? ???? ?? ?? ??? ?? ??? ??? ?? ??? ???? ??? ???? ?????? ????? ?? ???? ???? ???? ?????? ??? ???? ??? ???? ?? ????? ?? ??? ??? ???? ???? ????? ?? ???? ??? ?? ????? ?? ??? ??? ???? ???? ??? ???? ???? ???? ???? ????? ????? ?? ???? ???? ????? ??? ????? ???? ?? ??? ???? ????? ?? ?? ???? ????? ????? ?? ????

Meri kismat ka chamkta hua sitara hoga Is per likha naam sirf tumhara hoga Meine soocha tha mujhe tera sahara hoga Lekin maloom na tha ke door kinara hoga Mujh ko ye ghum nahin doobi meri kashti lekin Paar toofan ne to kisi ko utara hoga Jab teri shehr-e-khamooshi per padi hongi nazarein Naam le le kar to ne pukara hoga Mein chala jaonga duniya se ye hasrat le kar Band ankhon mein faqat tera nazara hoga Kis ko maloom tha tameer se pehle Bijli jis ghar per gire gi woh hamara hoga

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat “wasi” ab to urooj pe puhanchi hai uski zaat “wasi” wahi wady hain aur rasmon ki zanjiren baqi kab badalti hain zamany ki riwayat “wasi” aik wo din thy k ek dosry ko sochty thy hum ab milty nahi dono k khayalat “wasi” meri her subha ka aghaz tery naam se ho teri yadon mai kati meri her aik raat “wasi” tum kahan aur mery piyar ka miyar kahan wo kitni sadgi se ker gaya ye baat “wasi

Yeh zara zara si baat per, Tarha tarha ka azaab kiyon? Jo kisi say bhi khafa na ho, Mujhey us khuda ki talash hai. … Mujhey laghzishon pay her ghari, Koi tokta hay baar baar. Jisay ker k dil ko dukh na ho, Mujhey us gunah ki talash hai, Bina Humsafar k kab talak, Koi musafaton main laga rahay. Jahan koi kisi say juda na ho, Mujhey us raah ki talash hay. Mujhey daikh ker jo aik nazar, Meray saray dard samajh sakay. Jo is qadar ho Chara-e-gar, Mujhey us nigaah ki talaash hay.

Tere aane ka silsila nikla, Thoda socha to ye pata nikla, Ranj ka sara khel hai chahat, Sab ka ek ye hi fesla nikla, Door duniya se ghar basa leta, Par mera ghar tera dayera nikla, Mere bare mai sochta hai wo, Kaise wo bawafa nikla, Kaisi ye aag hai bata de mujhe, Jisko dekha wo diljala nikla, Baat bebaat ka fasana tha, Kitna muddat mai fesla nikla, Jiske ghar mera aana jana tha, Wo shaksh mujhe mar mita nikla, Aaj to had hi ho gayi “shamsul” Bewafa sara kafila nikla.

Wo Mohabat Ka Khuda Hai Mujhe Malom Na Tha. /> Sajda Usko Bhi Karna Hai Mujhe Malom Na Tha. />Wo Bicharne Laga Mujh Se To Anaa Toot Gai. />Roth Jana Hi Ada Hai Mujhe Malom Na Tha. …/>Subha Hone Pe Bhi Aankho Se Andhera Na Gaya./> Raat Suraj Se Khafa Hai Mujhe Malom Na Tha./> Roth Jane Pe Manana Use Aata Hi Nahi./> Ye Bhi Meri Hi Khata Hai Mujhe Malom Na Tha. /> Zindgi Jurm-e-Anasar Hai Zamane Mein /> “WASI” Sans Lena Bhi Saza Hai MujheMalom Na Tha…….