Na udaas ho na khushi mana, Tere wastey ye sahi nahi, Zara paas aa zara ghor ker, Tujhe dil milega yahin kahin..

Mohabbat ka takaaza hai ke band apni zubaan kar lein, Zara si baat per kyun hum kisi ko bd’gumaan kar lein..

Woh aatey hain to dil man ik kassak si mehsoos hoti hai, Main dartaa hoon kahin iss ko mohabbat to naheen kehtey..

Dil toot bhi jaye to mohabbat nahin mit’ti, Iss raah mein lutt kar bhi khasaara nahin hota.. (khasaara:loss)

Wo jo apne aapko Noor E Hoor samjh bethai hain… Kon jaanta tha unhe meri Mohabbat se pehle………

Bus itna jan lo ek shakhs say hum nay mohobbat ki, Hmaray tootnay ka khel piyaray tum na samjho gay…….!

Mohabbat karne walo ko mohabbat raas na aai ab tak, yu hi nhi ye khud ko bechara ,aur dilbar ko bewafa kha karte hai?

Mujhe kisi se koi gharzz nahin, mujhe kaam hai apne kaam se, Teri zikar se, teri fikkar se, Teri yaad se, tere naam se..

kuch waqt ki rawani nay humain yuhi badal dia mohsin…. wafa par ab bhi qayam hain, magar mohabbat choor di hum nay.

Raat Ki Tanhai Mein Aksar, Yeh Sochta Rehta Hun… Muhaßßat Dua Ha, Saza Ha, Jaza Hai, Ya Gunah Ha…

Aasani Se Koi Mil Jaye To Wo Kismat Ka Sath Hai…. Sooli Par Charh Kar Bhi… Jo Na Milley , UsSe Muhabbat Kehtay Hain…

Naa Jaane Kyn nazar Lagi Zamane Ki, Ab Wajah Milti Nhi Muskurane Ki Tumhara Gussa Hona To Jayaz Tha, Humari Aadat Chut Gayi Manane Ki.

Ik lafz mohabbat ka adna’aa* sa fasaana hai, Simttay to dil-e-aashiq, phailay* to zamana hai.. (adna’aa;little, phailay;expand)

Aaj Tak Jo HUM TUM Se Keh Na Sake Aaj WAZAHAT Se IQRAR Kerte Hyn Jisey Tum ROZ Dekhty Ho AAENEY Mein Us Se HUM Be-Panah PYAAR Kerty Hyn ? (:

Pyaar Se Pyaari Koi Majburi Nahi Hoti, Kami Apno Ki Kabhi Puri Nahi Hoti, Dilon Ka Juda Hona Ek Alag Baat Hai, Nazro Se Door Hona Koi Doori Nahi Hoti?.