Mohabbat ko azmaana ho to bas itnaa hi kaafi hai, Zara sa rooth kar dekho manaaney kon ata hai..

Ustaad kyun roya thaa kin halaat ka maara tha, Bachon ko sikhaaya jo mohabbat kese likhte hain..

Jo cheez meri hai ussay koi aur na dakhay, Insan bhi mohhabat main, bachon ki tarhan sochta hai.

Mohabbat khawb hoti hai, Bari betaab hoti hai, Agar koi pooch bethe tou, Mohabbat raaz hoti hai..

Wo ate hain to dil me ik kasak mehsos hoti hai, Me darta hon kahen is ko muhabbat to nahin kehte.

Bhool jana bhulaa dena faqat weham hi to hai, Dilon se kab nikalte hain mohabbat jin se ho jaye..

Her Nazar hoti hai Khud apne hi Dil ka Aaina, Jis ne Dekha, Jis Nazar se, Us Tarah Jaana Mujhe..!!

Itni shidat se mujhe us shakhs ne manga nadeem Dushmani ke baawjood inkaar ki soorat na thi…

Mohabbat Andheri Raat Banke Aajayegi Ek Din dost Yun apne Sab rishton se teri bagaawat achhi nahi.

Mujhe Samjhaya Na Karo Ke Ab To Ho Chuki Mujh Ko, Mohabbat Mashwara Hoti To Tum Se Poch Kar Karte .

Mohabbat is liye bhi munfrid hai sab khelon se, Jo haara phir nahin khela, jo jeeta usne tauba ki..

Teri Ungliyan Khelti Rahi Mere Baalon Se, Hum Dono Raat ko Shabnam Ki Oas Par Soye…….!

Zarori to nahi jo khshi dy usi sy mohabbat ho, Pyar to aksar dil torny walon sy bhi ho jata ha…

Faasley Ghata Dete Hai Dilon Mein Nafraton Ko, Woh Jo Door Huey Tu kuch Mohabbat Se Hone Lagi….

Paas Hote Hain Jab Wo Mere To Koi Mozu-e-Guftagoo Nahi Door Hote Hain To Har Guftagoo Unhi Ke Liye Hai