Samajh mai kuch nahin ata Mohabbat kisko kehte hain, Magar itna samajhti hun ke dil mai Dard hota hai..

Deewane ki yeh baat barri baat hai pyaare, Sab pooche hain lekin woh tera naam na lay hai.. Iqbal Azeem

Mohabbat mein har ik mausam ka har ik rang shamil hai, Mohabbat ka koi ik rang ya mausam naheen hotaa..

Teri Banhon ke sahaaray ki zarorat nahen mujh ko’ Rooh say Rooh ko mila warna, khuda Hafiz’

Aag Suraj Me Rehti Hai Jalna Zameen Ko Padtha Hai Mohabbath Nigaahei Karti Hai Tadapna Dil Ko Padtha Hai

Tere Payar Me Doob ke Ye Makaam Mila hy Mujhe Nadir, Jise dekhoon Wo shakss Tera Haal Pochta hai mujhse.

Kya karain apna to mazhab hi mohabbat hai taraab, Phir meri jaa’n hain yahan log bhi pyare pyare..

haseen aankhon ko parhne ka abhi tak shauQ hai mujh ko, muhabbat main ujar kar bhi meri aadat nahi badli.

Chalo uss ka nahin to khuda ka ehsaan lete hain, Woh minnat se nahin maana to mannat se maang lete hain..

Pehle kabhi duniya se mohabbat nahi mangi, Yeh qehhat* teri mohabbat ke baad parra hai.. (qehhat:shortage)

Mohabbat bhi ajab shay hai ke jab baazi pe ati hai, To sab kuch jeet leti hai, ya sab kuch haar deti hai..

Mein to andheron me chamak raha tha ujaalon ki tarah, Tu ne dhoonda hi nahi mujh ko dhoondne walon ki tarah.

Mohabbat mein kabhi woh daur bhi aaya kartey they, Mein unme samaya karta tha, woh mujme samaya karte they..

Uss ne milne ki bhi kya shart rakhi hai mohsin, Ke chal ke aana hai sookhey pato’n pe aahat kiye bina..

Hum Nai Muhabbaton K Nashy Mai Osy Khuda Bana Dala Hosh Tab Aya Jab Os Nai Kaha K Khuda Kesi Ik Ka Nahi Hota..