Kabhi ye fikr k din ko bhi munh dikhana hai. . Kabhi ye ghum k phir aaye na aaye sham-e-firaaq. .

Jitney bhi lafz hein wo mehaktey gulab hein.. Lehjay key farq sey inh’ein talwar mat bna..!

Mein phool chunti rahi aur mujhy khabar na hui. . Wo shakhs aa k mery sheher se chala bhi gaya. .

Janaza rok ker mera wo is andaz sey bolay.. Gali hum ney kahi thi tum to duniya chorey jatey ho!!

I’m Going To Spend Valentine’s Day With My ” eX . . . Box 360 ” 😀

aaiine kii aaNkh hii kuchh kam na thii mere liye jaane ab kyaa kyaa dikhaayegaa tumhaaraa dekhnaa

khasosiyat nahi kuch is mein aye kalim teri! Shajar,hijar bhi khuda sey kalam kertay hein…

Khabar nahi wo meray humsafar kahan pohanchey .. key rah-guzar to meray sath hi lipat aai…

Khafa agerchey hamesha hoay magar ab.. Wo barhami hai key hum sey inh’ein gilay bhi nahi.!!

A memory lasts forever, and never does it die. True friends stay together and never say good bye.

Sham kat gae ‘Akhtar’ aao apney ghar jaien.. Qaid muntazir ho gi, raat aney wali hai!

Tabeer to kab apney muqadar mein koi hai!! Aao key koi hasee’n khawab orh key so’ein..

Qabar mein rakh k aziz-o-aqaarab ye kah gaye. . Hum yahin tak sath aaye aagy teri taqdeer hai. . !

Main Hoon Aur Afsurdagi ki Aarzu ?Ghalib? k Dil Dekh Ker Tarz-e-Tapaak-e-Ahl-e-Dunya Jall Gaya !!!

apni har ek saans uske liye humne luta di aur wo puchhte hai mere liye kitni hadd tak gujar jaoge