Meherbaa’n ho k bula lo mujhy chaho jis wakt Mein gaya wakt nahi’n hoon k phir aa bhi na saku’n. . !

Haqeeqat muskurati hai, wafaa sharmaaney lagti hai, Woh mozu*-e-wafaa pe jis gharri taqreer kartey hain.. (mozu;topic)

Tasweer mein chaley aye ho magar kuch terna sekho.! Tum aksar doop jatey ho meri ankh’on key tofa’n mein..

Gum Sum Ankhen,Sooni Saansen,Toot,ti Jurti Umeedain… Darti hun yun kesey katay gi, Umer hai! koi raat nhi…

Giray shabnam k qatray aur bharhi phool’on ki rangeeni Jahan mein raae’gaan koi bhi qurbani nahi jati. . !

Kitaabon Say Daleelein Doon, Ya Khud Ko Saamnay Rakh Doon Woh Mujhse Pooch Bethay Hain Muhabbat Kis Ko Kehtay Hain????

itni Nafrat Hai Usay Meri “MOHABBAT” Se Usne Apne Hath Jala Dalay Meri “TAQDEER” Mitane K Liye

“Kisi ko jorney mai itnay magan thy hum…Mohsin… hosh tab aya jab apnay Wajood k tukrey Dekhay”

Khuda janey bichar key mujh sey kis ka humsafar ho ga.. Hein jis key wastey mudat sey mehaw-e-intezar ankh’ein!!

Wo JiSsy SamjhTY thay ZIndAgI MerI dhARKN0 ka FareB tha . . . Mujhy Muskurana SIKHA k Wo Meri R0oh Tak Rula gaya . . .

Mera Karnama-e-Zindagi Meri Hasraton k Siwa Kuch Nhi, Ye Kiya Nahi.. Wo Hua Nahi.. Ye Mila Nahi.. Wo Raha Nahi….

Tuhmaten To Lagti Raheen Roz Nayi Nayi Hum Per Mohsin Magar Jo Sub Se Haseen Ilzam Tha Woh Tera Name Tha……

Waqt mila usey to humein bhi yaad kar hi legaaa woh..! fursat k auqaat mai hum bhi barey khaaas hain us k liye…!

Kiun Na Is Se Mein Sajaa Loon Gham-e-Hasti “Mohsin” Mere Ash’aar Mein Kuch Aks-e-Gham-e-Zaat Tou Hai

Yeh Jaan Kar Khushi Hui K Usay B Mere Dukh Dard Ka Ehsas Hai Usney B Keh Dya Itna Udaas Rehtey Ho to Mar Kyu Nahi Jatey