Bara ha dard ka rishta ye dil ghareb sahi, Tmhre naam pe aen ge ghamgusar chaley.

Chehra Bata Raha Tha Ke Maara Hai Bhook Ne Aur Log Keh Rahe The Kuch Kha K Mar Gaya…

Wo Mujhe Tuut Ker Chahe Ga Aur Bhool Jaye Ga Mujhe Khabar Thi Usey Ye Hunar Bhi Aata Hai !!

Yeh dard-e-dil na geya, dard-e-janaan ki tarah, Galay mein daal ke sab taweez dekhey hain..

Kiss jurm mein cheeni gayi hum se hamari hansi, Hum ne tou kisi ka dil dukhaya bhi nahin tha..

Tere Qareb Aa Kay Bari Uljhano Main Hon, Main Dushmanon Main Hon K Tere Doston Main Hon, Badla Na Mere Baad Bhi Mouzu-E-Guftago, Main Ja Chuka Hon Phir Bhi Teri Mehfilon Main Hon, Mujh Se Bichar K Tu Bhi To Roeyga Umer Bhar, Yeh Soch Lay K Main Bhi Teri Khuwahishon Main Hon, Tu Hans Raha Hai Mujh Pey Mera Haal Daikh Ker, Or Phir Bhi Main Shareek Tere Qehqahon Main Hoon.

Tujhy bhula k jiyu’n, aisi bad-dua bhi na de Khuda mujhy ye tahammul, ye hosla bhi na de Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol Sunay baghair mujhy, apna faisla bhi na de Ye umer meine tery naam be-talab likh di Bhalay se daman-e-dil mein kahin jaga bhi na de Ye din bhi aaingy, aisa kabhi socha na tha Wo mujh ko dekh bhi lay aur muskura bhi na de Ye ranjish’ain to muhabbat k phool hain ‘Sajid’ Ta’aluqaat ko is baat per ganwa bhi na de. . !

Jab Hum Khush Hain , Tab Bahut Pyaari Hai Jindagi; Jab Hum Udas Rahen, Tab Dukh Bhari Hai Jindagi; Jab Dil Ko Koi Achchha Lage , Tab Rangeen Hai Jindagi; Jab Mann Soch Mein Dooba Rahe, Tab Bahut Gaheri Hai Jindagi; Jab Kathinaiyan Samne Aaye, Tab Mushkilon Se Ladna Hai Jindagi; Jab Hoonsala Afjaayi Ho , Tab Prerna Hai Jindagi; Jab Kisi Ke Samne Jhukna Pade , Tab Khaamosh Hai Jindagi; Jab Bahut Kuch Sahna Pade , Tab Lachar Hai Jindagi; Jab Duniya Sachchhi Lage , Tab Masoom Hai Jindagi; Jab Jhoot Se Dhaki Sachchhayi Samne Aye , Tab Dardnak Hai Jindagi; Jab Dil Toot Jaye , Tab Gamoon Se Ghiri Hai Jindagi Jab Prem Mile , Tab Anurag Hai Jindagi; Jab Kuch Samajh Na Aaye , Tab Ghor Andhera Hai Jindagi; Jab Raasta Najar Aaye , Tab Nayi Subah Hai Jindagi; Jab Sapne Bikhar Jaaye , Tab Aankon Ka Nam Hona Hai Jinagi; Jab Sapne Sakar Hon , Tab Pagalpan Hai Jindagi; Apno Ke Prati Pyaar Hai Jindagi, Unke Liye Kuch Bhi Kar Kujarne Ki Chahat Hai Jindagi; Aur Toh Aur Gairon Ko Apna Bnaaye Ye Jindagi; Sach Poochoo Toh Ae Dost, Paristithi Ke Saanche Main Khud Ko Dhalna Hai Jindagi.

tum to soo baar maan jao gay dil hamara bahl nahi sakta

Dil to mera udas hai nasir, Sheher kion saen saen karta hai.

Burey waqt ho to laut jao tum, Sabhi chehre aazmaa liye hum ne..

Khudkushi aaj na kar, mumkin hai, Kal ka din aaj se behtar aaye..

Hum Tou Wo Hain Jin Ko Khud Apni, Wehshaton Ka Sabab Nahee Maloom..!

Ankhe udas tash ke paty thy hat may kherat ki tarah meri taqdeer bat gy

Qisa go mere gaon k such kehte hain, Piar kahani dard bhari reh jati hai.