Saalgirah ka card mila hai mujh ko uski beti ka Khushi k is moqay per us ne ik ruqa bhi likha hai “Aap please, zaroor aain aur achi si ik nazam Meri beti ki khatir likh la’in Nazam tarannum se parhiye ga Jaisy dard ki lay mein doob k apni ghazal’ain parhty they” Tab se ab tak soch raha hoon Nazam likhu’n ya apni zinda nazam ki ungli pakray Is taqreeb mein jaon Us se mil k kahu’n lo dekho! Tameel irshad to meine kar di hai Lekin ye meri nazam nahi mera beta hai. . !

humain koi Gham nahin tha Gham-e-ashiqi se pehle na thii dushmanii kisii se terii dostii se pehle hai ye merii badnaseebii teraa kyaa qasoor iss mein tere Gham ne maar Daalaa mujhe zindagii se pehle … meraa pyaar jal rahaa hai aye chaand aaj chhup jaa kabhii pyaar thaa hamein bhii terii chaandni se pehle main kabhii na muskuraataa jo mujhe ye ilam hotaa ke hazaaron Gham milenge mujhe ik Khushii se pehle ye ajeeb imtehaan hai ke tumhii ko bhoolnaa hai mile kab they iss tarah ham tumhein bedilii se pehle

Apna To Ye Sochker Waqt Guzer Zata Hai Kyu Dur Jane Ke Liye Koi Karib Aata Hai. Wo Jane Kaise Apne Dilse Mujhe Bhula Baitha Mai Ger Bhulna Chahu To Bhula Bhi Yaad Aata Hai. Tab Nikherti Hai Kahin Jindagi Ki Asli Surat Ashq Jab Aapke Daman Pe Bikher Jata Hai. Tadap Tadap Ke Tujhe Taumra Yaad Karta Rahun Kuchh Aur De Na Jakhm To Bher Jata Hai. Yun To Mai Khud Bhi Tujhper Tabajjoh Nahi Deta Mera Jehen Hai Ke Her Bar Udher Jata Hai. Beshaq Bahar Sooni Sooni Si Lagti Hai Bul Bul Ke Chale Jane Se Kya Bagh Ujad Jata Hai.

Kahani phir chali aai mujhy milny. . Sukhi! Kaisi guzarti hai? mery honto pe taalay dekh kar wo chonk c uthi Wo kuch pal soch kar boli! Sukhi tu heer jaisi hai. .! Sukhi! tu zeher ka pi kar piyala jee rahi hai kyun? Tera “ranjha” to kaido se bhi kuch barh kar hi tha shayad Sukhi, behtar tha “Khairro’n” k hi ghar ko tu basa leti Unhein apna bana leti, unhein hi aazma leti Sukhi tu tootti jurti hui zanjeer jaisi hai miti tehreer jaisi hai Luti jageer jaisi hao. Sukhi! Tu HEER JAISI HAI. . !

chup hai har waqt ka rone waala; kuchh na kuchh aaj hai hone waala. ek bhi ashq nahin hai aankhon mein; sakht-jaan? kitna hai rone waala. aaj kaanton ka bhi haqdaar nahin; haar phoolon ke pirone waala. kho gayaa dard ki tasweeron mein; pyaar ke rang bhigone waala. fasl ashqon ki ug aayee kaise; kyaa kahe ?kahkahe bone waala. baant-ta firta hai auron ko hansee; khud ko ashqon mein dubone waala. mutmayeen ab hain yahi soch ke hum; ho rahega hai jo hone waala. SHAUQ !?tum jiske liye marte ho? ..wo?tumhaaraa nahin hone waala?

Tere Aane Ki Ummid Me Ek Paigam Likaha Hai Ashko Ki Shyahi Se Tujhe Salam Likha Hai Adhure Se In Khwabo Me Rutha Hua Tera Naam Likha Hai Aaj Bhi Tere Intezar Me Raahen Udas Ho Thi Tere Na Aane Dard Raha Dil Me Kuch Soch Ye Aakhiri Kalaam Likha Hai Tu Kar Khushiyo Ki Mehfile Aabad Meri Duaao Ne Ibadat Me Subho-Sham Likha Hai Tu Na Aayega Ye Maloom Na Tha Shayad Kismat Ne Meri Ummido Ka Yahi Aanjaam Likha Hai Beh Rahi Hai Lahar Dhadkano Ki Dhire Dhire Usi Ret Pe Mohabbat Naam Likha Hai Tere Aane Ki Ummid Me Ek Paigam Likaha Hai

Jab Kabhi Fairist Bane Bewafa Logon Ki; Awwal Number Pe Usmein Naam Mere Mehboob? Ka Likhna. Yun To Mere Samne Usne Jamane Ka Haal Poocha; Jane Kyun Ek Nazer Faqat Mujhper Nahi Padi. Gujere Jamane Ki Kitab Ka Ek Safa Ban Jayeinge. Ayega Bulawa Aur Hum Bhi Chale Jayenge. Aakhir Kyun Na Ho Mujhko Gujere Jamane Ka Malaal; Her Gum Ko Bhool Jata Hun Jab Aata Hai Un Lamhon Ka Khayal. Raste Ke Mushafiron Ka Bharosa Kaisa; Ayegi Unki Manzil Aur Humse Bichhad Jayenge. Muddaton Baad Hua Aaj Phir Pareshan Dil; Jane Kis Haal Mein Hoga Ab Mera Qatil.

Badley Aap, Aapka Iraada, Zamaanaa Badlaa, Ye Na Hota Agar Badaltii Akelii Qismat Hamaarii ? Galatii Kisii Ki Nahin Aapke Naksh-E-Qadam Par Chaley, Ye Hamaare Ikhtiyaar Me Tha Aap Ne Gehrii Chaal Chalii ? Galatii Kisii Ki Nahin Terii Yaadon Me Ek Deeyaa Jalaa Ke Mai Jo Aayaa Tha Ghar Mera Usne Jalaa Daalaa ? Galatii Kisii Ki Nahin Der Ham Hi Ne Ki Baarish-E-Dua Maangney Uske Paas Bachaa Tha Keher, Usne Barsaaya ? Galatii Kisii Ki Nahin Tapkaa Qismat Ka Ghadaa ?satish?, Shikaayat Nahin E Maalik Mitti Hi Thi Kachchii Hamaarii ? Galatii Kisii Ki Nahin

Shaan Se Pyar Ka Izhar Karenge Teri Mohabbat Pe Jaan Bhi Nisar Karenge Dekh K Jalegi Duniya Saari, Is Kadar Tujhpe Aitbaar Karenge Denge Salaami Sab Humko, Jab Pyar Ko Hum Bayaan Karenge Daulat Aur Shaurat Ka Kya Hai Kaam, Teri Khushi Mein Khudko Nichaawar Karenge Har Ghadi Ho Bus Tera Deedar Waqt Se Hum Yahi Iltijaa Karenge Saaye Ki Tarah Tujhse Liptey Rahenge Duniya Ki Buri Nazar Se Tujhe Bachaya Karenge Dard Se Na Rahe Tere Taalukat Kabhi Khuda Se Bus Yahi Fariyad Karenge Khatam Na Ho Kabhi Pyar K Silsiley Qayaamat Tak Tera Hum Intezar Karenge..

Muhabbat tum ne danista ganwaai thi. . ! Tou behtar hai k ab us ko bhula daalo K ab pachtanay se bhi kuch nahi hoga Ye tum ko baarha hum ne kaha bhi tha Suno jana’n! Gulabo’n se ye lamhay hain Inhein khonay se pehlay hi sambhal jao Khiza’n se dosti karna nahi acha Magar tum ko tou zid si thi mitanay ki, jalanay ki, ganwanay ki Jo tum ne aag bharkai thi haatho’n se Tumharay apny daaman tak bhi aa pohnchi tou rotay ho? Suno! pachtanay se bhi kuch nahi hoga Muhabbat tum ne danista ganwaai thi. To behtar hai k ab usko bhula daalo. . !

Suno Janaa’n Boht be-sakooni hai hamari zaat mein Boht masroof rehna parr raha hai. . Boht se kaam hain Jo apny zimmay ley rakhay hain Magar, inhi saray jhamelo’n mein Tumhari yaad ka wo aik jugnu, ab chamkay to Ye aankhain bheeg jati hain. Tumhari yaad k roshan sitaray timtimatay hain Tou dil bujh sa jata hai Hawa ko sub pata hai Mery dil ki khabar hai Meri palkon k aansu Khud mein jazb kar k num c ho jati hai. . ! Suno Janaa’n Boht hi be-sakooni hai hamari zaat mein Lekin Tumhain hum yaad karty hain Tumhain ab bhi Boht hum pyar karty hain.

Tumne Humko Aajmaya Na Sahi, Humse Kuchh Farmaya Na Sahi Humne To Socha Tha Ki Tum, Har Mod Par Humara Saath Doge Par Tumne Saath Nibhaya Na Sahi Dil Tood Kar Tum Humara, Yun Chal Diye Tanha Chhod Kar Humne Tukadon Ko Uthaya Na Sahi Bas Ek Chirag Ki Roshani Liye, Chal Rahe The Raston Par Us Chirag Ne Rasta Dikhaya Na Sahi Tay Kiya Ta Umar Teri, Yadon Ke Sahare Guzar Denge Par Teri Yadon Ne Bhi Saath Nibhaya Na Sahi Zindagi Se Khafa Hokar, Chal Pade The Khudkhushi Karne Humko Mout Ne Bhi Gale Lagaya Na Sahi Humse Kuchh Farmaya Na Sahi, Tumne Humko Aazmaya Na Sahi

Kisi Lerki Say Mat Kehna Kay Us Say Pyar Kertay Ho Ager Ek Bay Dhayani Main Yeah Iqrar Ker Bethay Kisi Say Pyar Ker Bethay To Phir Wadoon Ki DoRoon Main Ualajh Ker Toot Jao Gay Tumharay Pyar Ka Us Ko Ager Ehsaas Ho Jayay To Ho Sakta Hai Tum Us Ka Rang-O-Roop Ban Jao Mohabbat Kay Safar Main Shayad Aaisa Morr Aajayay Kay Tum Narazgi Ka BerMila Izhaar Ker Bethay Koi Inkaar Ker Bethay To Yeah Samjhoo Koi Sheesha, Koi Dil Toot Jaye Ga Kay In Kay Dil Bohat Nazuk, Bohat Kumzoor Hotay Hain Kisi Lerki Kay Dil Ka Tootna Bhi Mout Hoti Hai Kisi larkii se na kehna K Us say Pyar karte ho

Mein takiye per sitaray bo raha hoon. . Janam din hai, Akela ro raha hoon. . Kisi ne jhank kar dekha na dil mein. . K mein ander se kaisa ho raha hoon. . Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay. . Unhein ab aansuo’n se dho raha hoon. . Sabhi parchaai’an hain saath lekin. . Bhari mehfil mein tanha ho raha hoon. . Mujhy in nisbato’n se kon samjha? Mein rishtay mein kisi ka jo raha hoon. . Mein chonk uthta hoon aksar baithay baithay. . K jaisay jagtay mein so raha hoon. . Kisay paanay ki khuwahish hai k ‘Sajid’ Mein rafta rafta khud ko kho raha hoon. . !

Bus yunhi rasmi rasmi sa Ik be-mafhoom ta’aruf tha Us ne mera number mang liya Phir ik din telifone kiya Phir fone kiya.. Phir fone kiya.. Ik roz thi barish zoro’n per Baadal garjay, Bijli chamki Phir boondai’n barsi khirki per Tab uska telifone aya Be-saakhta meine us se kaha Barsaat mein tanhai ki saza Kyun deti ho? Kyun karti ho tum fone mujhy? Kuch lamho’n tak wo chup si rahi Phir kehnay lagi: Jo aap ka dheema lehja hai Mujhy be-hadd acha lagta hai Awaaz jo ap k honto’n se Tashna kaano’n tak aati hai MUJHY “USKI” YAAD DILATI HAI…!