Yeh dard mit gaya tu phir? Yeh zakhm sil gaya to phir? Bichar kar sochta hon mein Woh phir say mil gaya tu phir? Mein titlion k shehar mein Rahon tu mujh ko fikar hai Woh phool jo khila nahin Woh phool khil gaya tu phir? Tujhay bhi kuch nahi mila Mujhay bhi kuch nahi mila Tamam umar k liye Yeh dard mil gaya tu phir?

Me Usy Kese Akela Chorh Dun Is Rah Me Sath Jo Chalta Raha Majburio?n k Baad b Ban k Khushbu Rach Gya Hy Yun Mere Ehsas Me Duur Ho Paya Nhi Wo Durio?n K Baad b Rafta Rafta Usko b Ye Dunya Raas Aa Gai Muskura K Wo MIla Hy Ranjisho?n K Baad b aasly Kb Kam Huey Hyn Raabto?n k Baad b Ajnabi Thay Ajnab Hyn Mohabbato?n k Baad Bhi

Mein aaj boht udaas hoon koi nahi Jis dil se veerani baant saku’n Koi nahi Jo mery behtay aansuo’n ko rok sakay Koi nahi Jo ik zara harf-e-tasalli de koi nahi Jo muskura k kahay “Apni hasaas aankho’n ko takleef na de” Ye moti merey dil pe girty hain Koi nahi Agar hai tou bolta kyun nahi hai. . !

Jahan jahan bersaat uterti daikhi hai Her sou teri yaad bikherti daikhi hai Tum se pehlay dil sa buzdil koi na tha Aur phir iss dil se dunya derti dekhi hai Dil ke gehray sannatay main raaton ko Kabhi kabhi ik hook ubherti dekhi hai Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi Hum ne apni aankhon merti dekhi hai ( Farhat Abbas Shah)

kahnay ko myra uss say koi waasta nahi, amjad magar wo shakhs mujhy bulta nahi, darta hun ankh khotun to manzar badal na jay, main jaag to raha hun magar jaagta nahi, ashfatgee say iss ke uss baywafa na jaan, aadat ke baat aur hai dill ka burra nahi, sahab nazar say karta hain phatar b guftugu , na jins k hazoor zaban kholta nahi ….

Kuch Is Tarah Se Uljhe Hum Apni Uljhano Me Khudi Ko Ajnabee Paya Tamam Aaino Me Hame Dosto Ne Shamil Kiya Apne Dushmano Me Jo Shamil Kiya Tha Tumne Hame Apne Dosto Me Itni Shiddat Se Tuje Talasha Humne Mehjabeeno Me Ek Pehchan Si Ban Gayee Hain Shehar Ki Haseeno Me Dhadakta Hu Aajkal Sakiyo Ke Seeno Me Tasweer Lagi Hain Ghayel Ki Tamam Maikado Me

Aaj shab mein jag raha tha Sehan mein betha soch raha tha Itney mein chupkey sey Chand meray pas aa betha Aur kehnay laga Ik bar chali jaye to Ye zindagi laut key nahi aati Ye keh ker wo Kahin door badal’on ki oot mein Chup gaya Aur mein ney hawa’on key hath ye sandesa bheja Mujhey ik bar aa key mil jao Ye zindagi Laut ker nahi ati Usey kehna

Duniya Badi Moo Zor Hai Bahi Yeh Bandaa Kamzor Hai Bahi Yahan Koi Kisi K Kaam Nein Ahta Ye Nafsa Nafsi Ka Daur Hai Bahi Kis Ko Mun Ka Meet Banahain Har Koi Yahan Chor Hai Bahi Mein Kisi Ko Dil De Baitha Ishq Pe Kis Ka Zor Hai Bahi Aise Mard Ko Janat Milay Gi Jo Dau Biwion Ka Shour Hai Bahi Duniya Ki Nazroon Mein Hum Chote Sehie Dostoon Mein Apni ?Touhr? Hai Bahi

Aaj shab mein jaag raha tha. . Sehen mein betha soch raha tha. . Itny mein chupke se chaand mery pas Aa betha Aur kehny laga Ik baar chali jaye to Ye zindagi laut kar nahi aati Ye kah kar wo Kahi’n door badal’on ki aot Mein chup gaya Aur mein ne hawa’on k hath Ye sandesa bheja Mujhy ik baar mil jao Ye zindagi laut kar nahi aati usey kehna. . . !

Bagair Mere Tujhe Chain Aa Nahii.N Sakataa Meraa Javaab Kahii.N Se Tuu Laa Nahii.N Sakataa Hazaar Parde Bhii Daalo Agar Banaavat Ke Dilo.N Kii Baat Ko Cheharaa Chhupaa Nahii.N Sakataa Banaa Diyaa Hai Zamaane Ne Dil Ko Patthar Kaa Sataaye Ko_ii Bhii Mujh Ko Rulaa Nahii.N Sakataa Hasiin Taaj Mahal Ke Banaane Vaalaa Bhii Dilo.N Ke Tuute Gharau.Nde Banaa Nahii.N Sakataa

Katoon Si Chubhti Hai Tanhai Angaroon Si Sulagti Hai Tanhai Koi Aa Kar Hum Dono Ko Hunsa De Main Rota Hoon Rone Lagti Hai Tanhai Jab Bhi Tere Hisar Se Nikalna Chaha Yaadoon K Beej Bone Lagti Hai Tanhai Raat K Kisi Hise Main Yeh Bhi Bewafa Ho Jati Hai Main Nahi Sota Sone Lagti Hai Tanhai Tum Se Judaa Ho Kar Is Se Hi Dil Laga Lia Hai Mar Sa Jata Hoon Jab Khone Lagti Hai Tanhai

In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogi, Agar Zindagi Sirf-e-Jazbaat Hogi, Musafir Ho Tum Bhi Musafir Hain Hum Bhi, Kissi Morh Par Phir Mulakaat Hogi, sadaayon Ko Alfaaz Milnay Na Payein, Na Badaal Girein Gay Na Barsaat Hogi, Chiraghon Ko Aankhon Mein Mazfoot Rakhna, Bari Door Taq Raat Hi Raat Hogi, Azal Khuwabad Taq Safar Hi Safar Hai, Kahin Subha Hogi Kahin Raat Hogi……!!!!

Kal Mera Tassvur Tumhare Kaam Na Aayega Yaad To Rahega Ye Chehra Tumhe Shayad Fir Hontho Pe Mera Naam Na Aayega Karenge Jane Kitane Phool Raho Pe Intezar Tumhara Fir Kabhi Shayad Un Raho Pe Mera Makam Na Aayega Aahaten Meri Sunayi Dengi Tanhayi Ke Galiyaro Me Tumhe Dard Hoga Mujhe Aur Tumhe Aaram Na Aayega Kitabo Me Dabe Phul Chup Rahenge Ye Soch Ka Ki Shayad Abb Unka Koi Anjam Na Aayega

dekho ge humain roz magar bat na hogi Ek shehr man reh keh be mulaqat na hogi kehna hai jo keh dalo abi waqt hai baqi kal hum honge … magar art-e-halat na hogi jo pochna hai tum ko abi poch lo warna phir Rasm-e-sawalat na hogi din itne huwe taweel hijir ke logo tarpo ge sar-e-sham magar raat na hogi ye soch kar be dil tarap uthta hai yara bichren ge is tarah, ke kabi mulaqat na hogi

Hawa Jab geet gati hai Mere AAnsu Nhn Rukte Tumhari Jab yaad AAti hai Mere aansu NHn Rukte Main khush hota hun paani main baha ker kaghazi kashti Magar jab doob jati hai mere aansu nhn rukte … Main din bhar khauf rswai ka kitna zabt kerta hun Magar jab raat chati hai mere aansu nhn rukte. Kabhi jab sard shamun main mere kamre ki tanhai Tumhain wapas bulati hai mere aansu nhn rukte…