Yeh saane’haa bhi mohabbat mein bar’haa guzra, Ke us ne haal bhi pucha to aankh bhar aayi.. (saane’haa;accident, bar’haa;frequently)

thori si ibadat bohut sa sila deti hai ghulab ki tarha cheha khila deti hai ALLAH ki yaad ko dil se jane na dena Kabhi kabhi choti si DUA arsh hila deiti hai

Kabhi To Miley Pehli Mulaqat Ki Terha Bigra Hi Rehta Hai Kyun Halaat Ki Terha Wo Ek Sanam Jo Lage Jaan Se Pyara Mujhe Waqt To Deta Hai Magar Kheraat Ki Terha

Mujhko Aisa Dard Mila Jiski Dawa Nahi Per Bi Khush Hun Mujhe Us Se Koi Gila Nahi Or Kitne Aanso Bahaon Us K Liye Jisko Khuda Ne Mere Naseeb Main Likha Hi Nahi

Mat kar pyar mujh se aae ajnabi sab janty hain main? zamany main badnam hun tery samny zindagi pari hai guzarny k liye main to likh ker mittaya hua ik nam hun

Aesa Na Ho Yeh Dard Bane Dard-e-La-Dawaa, Aesa Na Ho Ke Tum Bhi Madaawa Na Kar Sako.. (dard-e-la-dawaa;untreatable pain)(madaawa;commiseration, act of sympathy)

Kabhi Tou Ki Ho Gi Chaand Ne Sooraj Se Mohabbat Tab Hi Tou Chaand Per Daagh Hai …Mumkin Hai Chaand Ne Ki Hogi Bewafaai Tab He Tou Sooraj Main Itni Aagg Hai

thukra k us ne mujh ko kaha k ab MUSKURAO!! mein hans diya k sawal uski khushi ka tha,, mene wo khoya jo mera tha he nahi,, … usnay wo khoya jo sirf usi ka tha!!!

Chaand jub baam se keh deta hai Allah hafiz Dil bhi her kaam se keh deta hai Allah hafiz Goonjte rehte hain alfaz miry kaanon ma Too to aaram se keh deta hai Allah hafiz

Preet k rung mein tan man rung kar. . Apni sudh budh kho baithay gi Raikhao’n ko ro baithay gi Dekh saheli youn na karna Preet ki agni se tu darna. . ! Preet na karna. . !

Teri Bheegi Palkon Se Aansoon Chura Lenge Hum, Apni Yaad Se Tere Har Pal Ko Saja Denge Hum, Pass Rahne Se Hi Pyar Sacha Nahin Kahlata, Door Rah Ke Bhi Pyar Nibhana Jante Hai Hum

Meri aankhon se jo barasta hai ai hamnasheen Woh qarz nahi teri yadon ka fasana kahti hai Jab se huwa hoon main door tujhse mere qatil Dunia mujhse teri haqiqat ka fasana kahti hai

Jaan-E-Hukkaam-O-Sarbraah Qimti Hai Bahut Aam Logoun Kaa Khoon Bah Rahaa Hai, Bahney Do? Apnee Sarkaar Pai Jokhim Na Ho Paidaa Koyee: Bas Itnaa Khyaal Rakho? Ra?itoun Ko, Kahney Do?

Barishon k mausam main tumhe yaad karne ki aadtein purani hain Ab ki baar socha haipurani aadtein badal dalein Lekin phir khayal aaya… aadtein badalne sebarishein nahi rukti?.

Muhabbat rait jesi hai. . ! kisi bhi band muthi mein magar ye bhi haqeeqat hai. Achanak be-khayali mein Bina sochay Bina samjhay Yunhi bus be-irada hi Ye muthi khul bhi jati hai. . 1