Mujhy tum se nahi milna. . Agar miltay milatay yunhi hanstay hansaatay Yunhi mantay manatay. . Muhabbat Ho Gai TOu Phir?

Chalti hai ab to saans bhi is ehtiyaat se, Jese guzar rahi ho kisi pul siraat se.. (pul siraat;a difficult bridge to cross)

wo jate jate apni ahat de gaye in soyi akhome apna sapna de gaye rahat milti thi unke anese fir bhi wo tanha kar gaye…..

Tumhari Yaad Ki Dali Utha Ker Zubaan Pe Rakh Li Hy Maine Ye Qatra Qatra Pighal Rahi Hai Main Qatra Qatra Hii Jee Raha Hoon . . .

Phir us ke baad zamane ne mujh ko rond* diya, Main gir parra tha kisi aur ko uthaate huye.. (rond:walk over, upar se guzar jana)

Hath se hath churaney lage ho Mujhko pathar ka banane lage ho Zara thehro mein yakeen tou karloon Tum mujhe chor ke janey lage ho

Neend to aaney Ko Thi Par Dil Pichlay Qisay Le Baitha “dost” Ab Khud KoBe-Waqt Sulany Main Kuch Waqt to Lagta Hai___!!!

Laaon kahan se dhoond kar main apna hamnawaa*, Khud apne har khayaal se takraa chuka hoon main.. (hamnawaa;person with similarities)

Kai Bar Diye Tune Dhokhe ; Wade Tere Sachhe Nahi Lagte; Tujhko Bewafa Bhi To Keh Nahi Sakta; Per Tere Karname Kuchh Achhe Nahi Lagte.

dhoondoo gay hamain mulqoon mulqoon , milain gay naheen nayaab hain hm tabeer hai js ki hasrat o gham, aay hum nafsoon wo huwaab hain hum

Panyon ki nazar ho jata ho  khud kagaz ki kashti ki tarah jis tarah phir moj lay jati hy muje ko us taraf behta ho may    

Wafa me teri sanam hum yakeen kar, Na watan ke rahe na safar ke rahe, Bikhri hui laasho ke itne tukde hue, Na kafan ke rahe na dafan ke rahe

Pyar Humko Bepanah Kar Gaye Phir Zindagi Mai Humko Tanha Kar Gaye Chahat Thi Un K Ishq Mai Fana Hone Ki Magar Wo Laut K Aane Ko Mana Kar Gaye

Meri chahat mein kami kuch na thi, jaane kyon woh begane se ho gaye, woh samjate hain khush hoon main, lekin mujhe hase to kai jamane ho gaye.

Woh geet jo tum ne suna nahin, meri umar bhar ka reyaaz tha, Mere dard ki thi woh dastaan, jisey tum hanssi mein urra gaye.. (reyaaz;practice)