kisi say rishta gehra na kerna.., bhool ker bhi adhoore sapnay na sajana.. zindagi mein kisi say dil na lagana ? kyon k gehre rishtay? adhore sapnay? or Dil.. Akser toot jatay hein..!!

Raat ko ye Tootay sapnay Meri band aankh’on Ko zakhmi kar gaye Aur Saari raat Khoon behta raha Subha utha aur Bister dekha Tou pata chala k Raat Ko Kamray mein KON AAYA HAI. . !

Woh keh gaya ab sirf khwabon mein milenge hum, Tere bina jeeyenge aur tujh se juda rahenge hum, Agar woh sacha hai aur milega sapno mein Tu zindagi bhar aankhein ban ker soo jayenge hum

Bhar aayi meri aankhen jab uska naam aaya ishq nakam sahi phir bhi bahut kaam aaya… hamne mohabbat me aisi bhi guzaari raatein jab tak aansu na bahe dil ko na aaraam aaya……

Khoj Jaaree Rakheyn Us Ki, Lakeer Kaa Kyaa Hai Lakeer-E-Dast Ki Fitrat, Lakeer Par Chhorheyn Yahaan Bhi Hai, Wahaan Bhi Hai, Kahaan Naheen Hai Woh Woh Jahaan Bhi Miley, Us Taraf Nazar Ko Morheyn

Sakoon Hai Dil Ko Jab Tum Paas Hoti Ho Tarap Jata Hoon Jab Tum Mujhe Chodh? Jati Ho Bhari Mehfil Mein Tanha Rahta Hoon Jab Tum Duur Hoti Ho Mujhe Kuch Samajh Mein Nahi Aata Ki Tum Kya Chahati Ho

Ho Jao Agar Zamane Say Dukhi, Bikta Hai Gham Dushman K Bazaar Main, Lakhon Dard Chupay Hotay Hain, Ek Chotay Say Inkaar Main, Ho Jao Agar Zamanay Say Dukhi, To Sawagat Hai ? Wakeel? K Darbaar Main

Tere “MASOOM” “NIGHAHON” K “TAQADIS” Ke “QASAM”. Main “SOO” Bhe “JAON” To “KHAWAB” “JAGA” Dete Hain.

Dil Ka Dard Dil Main Dabaye Rakha, Koi Na Mila Aisa Jis Pay Duniya Luta Daitay, Sab Nay Diya Dhooka Kis Kis Ko Bhula Daite, Dil Ka Dard Dil Main Dabaye Rakha, Bayan Kia Hota To Mehfil Ko Rula Daitay

Maine kaha Maut ko thorde din tal jaa,, Maut ne kaha teri kisi ko jaroorat nahi tu chala aa, Maine kaha koi hai jo humare liye jeeta hai,,,, Maut ne kaha isliye tu roj paani ki jagah aansu peeta hai

Is se pehlay k aankh khul jaye Aa k honto’n se meri aankh’on per Koi anmol khuwab likh jao Mera chehra gulaab likh jao Baad mein aa k apny hath’on se Mera jeewan saraab likh jao. .

Koyee Beygaanah Naheen Hai Yahaan, Wahaan Yaa Kaheen Mein To Insaanee Khaandaan Kaa Hoon Ik Waarish Koyee Shikwaa Naheen Hai; Mein Bhi Chook Jaataa Hoon Galt Kartey Naa, To, Insaan Naheen, Khudaa Hotey

Beygunaahoun Kaa Khoon, Fir Bahaa Hai Bharat Mein Fir Sey, Insaaniyat Cheekhee Hai, Marey Hain Bachchey Dahshat-O-Qatl Rawaan Hain Fazaa-E-Duniyaa Mein Dushman-E-Amn Yeh, Bandey Naheen Rub Key Sachchey

Mera afsorda chehra is liye bhi sard rehta hay Mujhay apnay elawa bhi kese ka dard rehta hay Tumharay baad baqi or tu sab theek hay lakin Jahan “dil” tha kabhi pehlay waha ab dard rehta hay

Lout Paatey Naheen, Uthh Kar Wahaan Jaaney Waaley! Dard Kitnaa Bhi Koyi Zehn-O-Jigar Mein Paaley! Yoon To, Hotey Hain Yaheen Paas Hawaaoun Mein Kaheen: Uyoon-E-Nou Ko Bhi Parhtey Hain Nazar Key Laaley!!