Wo ik shakhs jis shikayaten thin bohot wohi aziz tha os se mohabaten thin bohot wo kab mila to dil main talab hi na thi bichar gya to hamari zarurten thin bohot wo youn mila jesy kabhi mila hi na ho hamari zaat pe oski inayaten thin bohot hamen apny hi yaron ne kr dia ruswa k bat kuch bhi na thi aur wazahaten thin bohot har moor pe hum tootty bikharty rahy hamari zat pe tanha qayamten thin bohot

Me mar jau to mere Sirhane na bithana us ko, Boht Tasalli dena boht pyar se Samjhana us ko, Ghomne ka bahana kar k door Fizao me kahi le jana us ko, Wo bawafa hy us waqt ye ehsas na dilana us ko, Us k samny na karna batey aesi k meri yaad ajae, Meri tafri k mashghale suna suna k hansana us ko, Wo roye ga boht bilawaje to meri rooh tarap uthegi Yaar, Dost tm aesa karna meri Mout ka he na batana us ko??.

Ye Dard Mit Gaya To Phir? Ye Zakhm Sil Gaya To Phir?? Bichhar Kar Sochta Hoon Main, Wo Phir Se Mil Gaya To Phir?? Main Titliyon K Shehar Mein, Rahoon To Mujh Ko Fiker Hai? Wo Phool Jo Khila Nahi, Wo Phool Khil Gaya To Phir?? Tujhe Bhi Kuch Nahi Mila, Mujhe Bhi Kuch Nahi Mila? Tamam Umer K Liye, Ye Dard Mil Gaya To Phir?? Main Is Liye To Aaj Tak, Sawal Bhi Na Kar Sake? Agar Mere Sawal Ka, Jawab Mil Gaya To Phir??

Ager wo meherban hota to meri ankh main na jhilmilati si nami hoti na mery dil li wadi main Hizan ka qafla rukta wo meri benoor ankhon main sitary qaid ker deta meri zakhmi hatheli pe wo koi phool rakh deta mery hathon ko apny hathon main le ker wo ye kehta… Mohabat roshni hai, rang hai, khushbu hai, sitara hai Qasam mujhko mohabat ki mujhy tu sab se payara hai mager aisa wo tab kehta Ager wo Meherban hota…

Aap Key Jigar-O-Dil ?Navneet?-Sey Mulaayam Hain Zulm Kyaa Cheej Hai, Waisey To Jaantey Hain Sab Aap Gahraayee Sey Mahsoos Kar Fafaktey Hain Ham To Aansoo Bhi Bahaa Paatey Naheen Hain Utney Ham Samajhtey They Wazeeroun Ko Sharm Aayegee Un Kee Aouqaat Pai, Ab Ham Ko Sharm Aatee Hai Woh To Rahtey Hain Fouziyoun Sey Ghirey Pahroun Mein Aam Logoun Kaa Khoon Bahtaa Hai Baazaaroun Mein Koyee Batlaaye Yeh Kaisee Namak-Halaalee Hai?

Mein hun Aur tanhai hai Teri ye chand tasweer’ain Jo mujh sey baat’ein kerti hein Teri ye chand tehreer’ain Jin ko parh ker hum khod ko tasali’yan detay hein Aur kuch card Jinhei’n hum eid per parha kertay hein Aur Teray bhejay huay kuch gift Jinhei’n hum her waqt chuma kerat thay Agr tum khod aa ker dekho Mera kamra bas teri Yaad’on ki nishani hai Aur tum Kehtay ho key mujhey bhol jao. . !

Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna, Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna, hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne, Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna, Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai, Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna, Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon, Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna, Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat, Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna…….!!!

Unke Larazte Hothon Ne Di Lakhon Ko Jindagi, Kyu Hum Hi Unke Deedar Ke Kabil Nahi Hue. Na Samajh Sake Wo Hame Ya Hum Nahi Samajhe, Chune Chale The Chand Ko Aur Khud Jhulas Gaye. Kuch Gam Nahi Phir Bhi Hame Jab Bhi Kabhi Socha, Pyar Na Sahi Hum Dard Ke Layak To Ho Gaye. Gar Pyar Mein Jeete Toh Wo Bhi Tha Kya Jeena, Iss Dard Ki Kasak Mein Unki Yad Toh Shamil, Wo Na Samajh Sake Hame Toh Gam Nahi Uska, Har Pyar Ko Hoti Nahi Manjil Kabhi Hasil

Itna Toota Hoon Ke Choone Se Bikhar Jaaoonga Ab Agar Aur Duaa Doge To Mar Jaaoonga Lekar Mera Pataa Waqt Raayaga Na Karo Main To Banjaara Hoon Kya Jaane Kidhar Jaaoonga Is Taraf Dhoond Hai Jugnu, Na Charaag Koi Kaun Pehchaanega Basti Mein Agar Jaaoonga Zindagi,. Main Bhi Musafir Hoon, Teri Kashti Ka Tu Jahaan Mujhse Khaegi Main Utar Jaaoonga Jahaan Reh Jaayenge Gulaadon Mein Yaadon Ki Nazar Main To Khushboo Hoon Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga

Ek Kasak Jo Lafzo?nKi Aagosh Me Sisak Rahi Thi Ek Dua Jo Duur Arsh Pe Bhatak Rahi Thi Wo Dua Jo Tuutey Dil Sy Nikal Rhi Thi Wo Dua Jo 2 Labo?n Pe Machal Rahi Thi Kaash ! Ek Shaam Wo Laut Aaye Ya Kaash ! Wo Shaam Laut Aaye Is Dil Ne Bohat Usay Chaha Tha Hum Ne Rab Sy Bas Usy Hi Maanga Tha Pr Meri Dua Tou Kahin Arsh Pe Hi Kho Gai Aur Phr Taqdeer b Andhera Aurh k So Gai Aur Phir Zabt Ka Daaman Hum Sy Chooth Gaya Ek Tuuta Hua Dil Aur Bhi Tuut Gaya ?

Jivan Me Ab Mujhe Jine Ki Aash Nahi Aash He Jinaki Woh Mere Pass Nahi Vaada Woh Kar Ke Saath Ka Tod Gaye Khabar Mere Maut Ki Unko Khas Nahi Nadan Me Betha Hun Aash Liye Unaki Suna Pada Aasman Aur Badal Paas Nahi Unko Di Hamane Har Ek Pal Jivan Ki Aur Kahete He Woh Samay Unke Pass Nahi Maut Tak Aa Chhuki Jindagi Hamari Magar Ask Hamare Liye Unki Nigahon Ke Pass Nahi Ask Hamare Liye Unki Nigahon Ke Pass Nahi Aayenge Kya Phool Kisi Ke Mujhe Aash Nahi

‘Aapne Hi Shehar K Log Satane Lage, ‘Yar Apni Mahfil Se Uth K Jane Lage, ‘Jab B izhar E Jazbat Chaha Main Ne, ‘Log Apna Apna Dard Sunane Lage, ‘Hamare Naam Se Chalti Thi Jinki Sansein Kbhi, ‘Aaj Wohi Hum Se Nazren Churane Lage, ‘Kya Khabar Thi K Ik Pal Mein Bichar Jaye Ga Wo, ‘Jise Apna Bnane Mein Zamane Lage, ‘Kya Karon Nazron Se Hat’ta Hi Nahi Wo Manzar, ‘Jab Haath Chhura Kar Mera Wo Jane Lage…

zindagi me chndd lamhy koi mere pas na baitha, aur aaj sab mere paas baithte ja rahe the…. koi tohfa na mila aj tak mujhe, aur aaj phool hi phool diye ja rahe the…. taras gaye the hum kisi k haath se diye to ek kapde ko, aur aaj naye naye kapde pahnaaye ja rahe the….. 2 kadam saath na chalne ko tayar tha koi, aur aaj kafila banakar le ja rahe the….. aaj pata chala k “Maut” itni hasin hoti hai, kambhakt “HUM” to yuhi jiye ja rahe the…

Abhi Na Tajurbekar Ek Naujawan Hain Hum Akl Ki Baaton Mein Thode Bejuwan Hain Hum. Ab Ho Gaye Gulam Unke Aashiki Mein Hum Yun To Kal Tak Apne Dil Ke Badshah The Hum. Ye Dil Ke Her Zidd Pe Dum Tod Raha Hai Nadan Ki Khahishon Se Bade Pareshan Hain Hum. Kya Daur Aa Gaya Hai? Ke Aaram Nahi Hai Baithe Baithe Bhi Aaj Kal Rawan Rawan Hain Hum. Chahein To Aasman Ko Jami Per Utar Lein Bus Jara Kuwwat Se Apni Gumsuda Hain Hum. Kal Waqt Ko Lautani Hain Ye Sari Takatein Abhi To Apni Duniya Ke Shehenshah Hain Hum.

wo shakhs mujhe ko jeet ke haara hai aur bas, itna hi zindagi ka khasara hai aur bas, kaise kahoon k us ka irada badal gaya, sach to yehi hai us ne pukara hai aur bas, duniya ko is mein dard ki shiddat kahan milay, aankhon se tootta taara hai aur bas, lafzon mein dard hijar ko mehsoos kar ke dekh, kehne ko mein ne waqt guzara hai aur bas, ab in mein koi khwab sajane nahin mujhe, ankhon ko intezar tumhara hai aur bas, mein ne kaha ke khwab mein dekhi hain baarishen, us ne kaha ke ek ishaara hai aur bas