Zehan awara dil awara nazar awara, Kaise iss hal ko pohncha na kisi ne pocha.

Aye saans na aa ke dil mein zakham hai, Thaiss uthti hai jab hawaa lagti hai..

Roshni meri bohat door tak haye gi, Shart yeh hai ke saleekey se jalao mujhko..

Ishq may hare hue ashiqo ke ansu hain, yeh mat samjihye k mausm badal rahe hai.

Toot jata hy tu sur or bhi lo dety hay dil jisy kehtain hy wo saz hy juda sab sy

Ruswaiyo ke darr se na dekha teri taraf, Aisa nahi k tujhse mohabbat nahi mujhe.

Safar mein sath mera aur koi kya deta, Hawaa bhi meri taraf saamne se aayi hai..

En angno may hay Barso sy ek sy din raat Yahi ruka howa lamha har ek makan may hy

Kis shakhs ka dil mene dukhaea tha k ab tak, Wo meri duaon ka asar kaat raha hai.

Moqa jisay mila woh peeta chala geya, Shayed bohat mithaass hamare hahuu me thi..

Me roz palati hon use zeher ka saghar, Ik dard jo andar hai wo marta hi nahin hai.

Tooti jogar ke jheel ke darpan pay ek kiran moj-e saba ny rooh mai kanta chobo diya

Talab dard me dil hasad se guzarta kab tha, Tum ne pocha tha k aur us ne kaha aur sahi.

Wo aik khat jo tu ne kabhi likha hee nahi, Main roz beth k uss ka jawab likhta hoon….

Zabt kehta hai khamoshi me basar ho jaye, Dard ki zidd hai duniya ko khabar ho jaye…!!