Zalim sub na ho kahin mehfil mein shan-e-husn.. Kiun khak dalta hai meri dasta’an per.!

Kitni hasrat se teri aankh ka baadal barsa Ye alag baat hai mera shola-e-ghum bujh na saka..!

Janey ab tak kesay roshan hai hatheli per charag..? Warna mousam ki hawa ka muda aur hi tha..

Jab bhi kisi sey kehnay hum apney gham gaye.. Honth’on pey atey atey alfaz jam gaye..!!

Jo shaad phirtay thy, aaj kal chup k rotay hain. . ! Hazaar shukar gham paidaar apna hai. . !

Jab wo hamrah tha bahir tha samajh se apni. . ! Ab nahi hai to muqaddar k baraber wo tha. . !

Remember! Never make any decision in anger & Never promise in happiness! (Hazrat Ali A.S)

Charagh bujhty rahy aur khuwab jaltay rahy. . ! Ajeeb tarz ka mosam mery watan mein raha. . !

Khamoshi Jurm Hai Agar Muunh Mein Zubaan Ho Kuch Na Kehna Bhi Hai Zaalim Ki Himayat Karna? !!

Cherri phir aap hi ne wohi be-rukhi ki baat. . Phir aap ne chupa liya chehra naqaab mein. . !

main uss ke khayaalon se nikluun to kahan jaun wo meri soch ke har raastay pe nazar aataa hai

Khob parda hai key chilman sey lagey bethay hein! Saaf chuptey bhi nahi samey atey bhi nahi..

Zakhm’on ky bawajud mera hosla to dekh! Tu hans diya to mein bhi teray sath hans diya..

AIDS awareness Program: Use “first hand” or use “just hand” 😀

Shehar duaa’en mang raha hai barish ki.!! Badal ja ker barsa hai kohsar’on mein..