Wo bhi kya log the aasan thi rahen jin keband aankhen kiye ik simt chale jate theaqlodil khvabohaqiqat ke na uljhan na khalishmukhtalif jalve nigahon ko na bahalate theishq sada bhi tha bekhud bhi jununpesha bhihusn ko apni adaon pe hijab aata thaphul khilate the to phoolon mein nasha hota tharaat dhalati thi to shishon pe shabab aata thachandani kaifasar ruhafza hoti thiabr aata tha to badmast bhi ho jate thedin mein shorish bhi hua karati thi hangame bhiraat ke god mein muh dhanp ke so jate thenarm rau waqt ke dhare pe safine the ravansahilobahr ke aain na badalate the kabhinakhudaon pe bharosa tha muqaddar pe yaqinchadareab se tufan na ubalate the kabhihum ke tufanon ke pale bhi sataye bhi hainbarqobaran mein wo hi shamen jalayen kaiseye jo aatishkada duniya mein bhadak uttha haiaansuon se use har bar bujhayen kaisekar diya barqobukharat ne mahashar barpaapne daftar mein litafat ke siva kuch bhi nahighir gaye waqt ke beraham kashakash mein magarpas tahazib ke daulat ke siva kuch bhi nahiye andhera ye talatum ye hawaon ka kharoshis mein taron ke subuk narm ziya kya karatitalkhiezist se kadava hua aashiq ka mizajnigaheyar ke masum ada kya karatisafar aasan tha to manzil bhi badi raushan thiaj kis darja purasarar hain rahen apnikitni parachaiyan aati hain tajalli ban karkitne jalvon se ulajhati hain nigahen apniPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Aale Ahmed Suroo

Your Comment Comment Head Icon

Login